Saturday, January 19, 2008

Jungle ho raha hai sheher dekhiye

Aaawara ho raha hai pehar dekhiye
Bewajah dhaa raha hai kehar dekhiye
Ub toh ghumne lage jaanwar bhi yahan
Jungle ho raha hai sehar dekhiye

Har pehar mar rahi hai insaniyat yahan
Na Jaane aayega kub khuda ka kehar dekhiye

Dekh raha hai puree ankhon se loot-ti aabroo
Ub jhukta tak nahi sharam se sar dekhiye

Jasn ko pal mein matam bana dete hain
Insaan ka yeh anokha hunar dekhiye

Shaitaan ghumte hai pure haq se sehar mein
Bhalayee ke ankhon mein utra dar dekhiye

"Deepak" se roshini ki ub kisi ko jarrorta nahi
Jub chahe jala lete hai duussaron ka ghar dekhiye

Wednesday, January 2, 2008

Jaane ho kar ke juda log kidhar jaate hain

shaant se udte hue badal yeh kidhar jaatein hain
paed se tute hue patte yeh kidhar jaate hain
kitni shiddatt se bhi dhundo toh nahi milte hain
jaane ho kar ke juda log kidhar jaate hain

kahi toh hota hoga inka bhi theekana warna
shaam dhalte hi ujale yeh kidhar jaate hain

aur jo pal nahi beete

Kuch lamhe gujre yaadon mein
aur kuch yun hi beet gaye
aur jo pal nahi beetein unko
takiye ke neeche rakhte gaye
tum aaoege tum sung milkar
ek din hum yeh pal kaatenge
khamoshi ke shikwe gile hai
tehri hui si kuch manzilen hain

ek gul hi bahut hota hai gulshan mekhane ko

Tere hur baat ki hai khabar is deewane ko
bata kaise hawa dedu tere mere fasane ko

ek roj toh aajao waade par milne ko
ek roj to tum dedo aaraam bahane ko

jajbaat mein keh deta, par aansoo ka woh ek katra
aankhon mein chala aaya phir raaj chupane ko

aankhon mein hue bojhil ub tute hue sapne
ek khawaab naya dedo palko pe sajane ko

main maang raha tujhko phir aaj duaaon mein
main aaj chala hu phir aasmaan jhukane ko

gujre hue lamho ke yaadon mein jeeta hu aur
tasveer main dhundhta rehta hu main gujre zamane ko

ek "Deepak" se mitega kya socho na andhera tum
ek gul hi bahut hota hain, gulshan mehkane ko

mousam naya gunguna raha tha

Mousam naya gunguna raha tha
main apna dil phir saja raha tha
dekha jo khudko main aaeene mein
tera hi chehra dikha raha tha

wafa ki khushiyon ko paake socha
yeh lamha ub tak kahan raha tha

kabhi jo dekha sitara tuta
tere kiye hi dua raha tha

badal gaya woh bhi waqt ke sung
jo apne mujhko bata raha tha

woh utna hi mujhko yaad aata
main jitna usko bhula raha tha

tuta jo dil toh jaana maine
woh juthe sapne dikha raha tha

woh ub mujhe pehchanta nahi hai
main jiske dil mein khuda raha tha

"Deepak" ki hai roshini tumne socha
main khud ko ub tak jala raha tha

insaan bananewale

Pal mein ho jate hain apne bhi, paraye bhi zamanewale
tune kya cheez banaya hain insaan bananewale
Tera kya hain tu loutkar aayega bhi kya jaanewale
mujhko azaad bhi karta ja tu apna bananewale

jub bhi uthtein hai toh toofan utha dete hain
koun kehta hain ki mit jaate hain zakham puranewale

kiska karte ho intezaar ankhon mein samundar lekar
lout kar aate nahi woh ek raat bitanewale

inko dafan hi rehne do tum kabr mein yaadon ke
yeh nahi dard dikhanewale

yeh nahi hai ki dard ki awaaj nahi hoti
dard uthtaa hain toh daba dete hain dabanewale

baasi sapno sa bhula dete hain hume,theek hi to hai
hum nahi khawaab palko pe saajanewale

unse umeed na rakh, jinke liye jal raha hai,"Deepak"
bujhte hi tujhe chodkar chal denge yeh jalanewale

Uski duaaon ka ehsaan

Gur uski duaaon ka ehsaan nahi hota
toh mera zamane mein pehchaan nahi hota

Chalna hai abhi sholo par,katon se gujarna hai
hai raah-e-mohabatt, yeh asaan nahi hota

bhagwaan sa banjata hai kabhi haiwaan sa banjata hai
insaan mohabatt mein, insaan nahi hota

Viswaas sa rehta hai seene mein woh hum subke
tasveer mein, pathar mein bhagwaan nahi hota

jaakar toh nahi kehta hur baat zamane mein
aisa koun hai duniya mein, jo paresaan nahi hota

gur apni tamannaaon ko hum rok ke rakh pate
hur mod par bikta phir imaan nahi hota

jalta raha hurdum auro ke liye warna
"Deepak" ka zamane mein yeh shaan nahi hota

umeed aur deepak

Umeed ek Deepak bhujhta jaa raha hai
Hain jor par hawayen ghanghor hai andhera
Kis umeed par gujaru yeh raat zindagi ki
Abhi daer hai roshini mein, bahut duur hai savera

Jhute nikal gaye hai, rishtey tamaam mere
Bhagwan jaa ki maine insaaf dekha tera

Main tanha hi chal pada, manjilon ko pane
Koi saath de safar mein hai aisa koun mera

Mere khoon ke woh ristey jo thea saath-saath hurdum
Kahan kho gaye na jaane pada jub gamo ka phera

Afsos hoto kyu ho, ansoo bahaye kyu hum
Who hoga kya begana jo kabhi nahi tha mera

Main lekar ke phir raha hu, game zindagi ka laash
Kaandhe pe jaa raho jo, armaan hai woh mera

Yeh majhi ki badnasibi joh nahi toh aur kya hai
Abhi nikla hi that bhanwar se ki toofan ne aake ghera