Sunday, March 16, 2008

neend ki zidd hain aankhon mein

Neend ki zidd hai ankhon mein, Koi khawab naya hai aanewala
Shayad ki ub mil jayega, Mujhe tanha sa kar janewala

Har kadmo ki aahat par mann papihe sa dool uth ta hai
Na jaane kya hoga saamne jub aayega woh aanewala

Phir iss raat ki akhir mein, main sapno ko rok raha hu
Khawabo se nikalkar jane kaha gum jata hai jaanewala

Is umeed pe tanha thea, ki meri tanhayee mein ayega woh
Thakkar ub mehfil kar li hai, ub aaya hai aanewala

Hur baat nahi hoti kehne ki, harbaar mujhe samjhata hai
Khud bhi kuch samjhta nahi kyu, mujhko sub samjhanewala

main aur meri tanhayee

Main aur meri tanhayee yeh sochti hai aksar
Zindagi ke naam par mujhko mila toh kya mila
Manjilon ka rasta veraan, suna, tanha sa
Koi mera saath de, aisa humsafar bhi na mila

Shaam khamoshi mein mere ansoo mujhse puchte hain
Bechaargi ka mere hoga khatam kub yeh silsila

Zindagi ke raaste par chal diye sub aage – aage
Ub toh keval naam ka hi reh gaya hia kaafila

Kyu na khatku ankhon mein, kyu maali na mujhko kaat de
Main woh shaakh hu jispar ub tak ek phool bhi na khila

Yeh dard hai mere apno ka saki tu itna jaan le
Ek jaam se hoga kya la saara maikhana pila

mohabatt mein ansoo

Jub mohabatt mein ansoo, bahaye thea hum
Dard-e-dil, dil mein rakh muskuraye thea hum

Is pal ka unko bhi tha intezaar
Tabhi toda dil jub sajaye thea hum

Mohabatt ke saare sitam she gaye
Hoto par aah phir bhi na laye thea hum

Aur zinhe zindagi- zindagi kehte thea
Unhi ke liye ub paraye thea hum

Naam likhkar tera ret (sand) par ai- wafa
Who bhi din yaad hai jub mitaye thea hum

Dil ke armaan jale jal ke raakh ho gaye
Lagta hai aag se dil lagaye thea hum

Roshini ki kami na ho tumko kabhi
Deepak sa dil ko jalaye thea hum

durr nahi anzaam se

Phir manzilon ka naya safar hota suru tere naam se
Tere naam likh di hai zindagi hai, ub durr nahi anzaam se

Tum saath thea pehchaan tha hur raah se hur mod se
Yeh zindagi ke raaste ub lag rahe benaam se

Is gum ko maey (sharab) mein dubane ki tum do na mujhko hidayatein
Yeh jakhm hai mere apno ka, yeh na bharega jaam se

Tere bin na lamha gujar raha main kaise gujarunga zindagi
Dekho na lamha yeh shaam ka, mere sung khada hai shaam se

Na chain tha, na sukun tha par theek tha apne aap mein
Jaahir kiya jajbaat toh ho gaye badnaam se

Tarsenge hum roshini ko, unko fikr “Deepak” kahan,
Andhera kar ke ghar mera, woh chal diye aaram se

zindagi hai safar

Zindagi hai safar pyar hai rasta
Milte hain ajnabi dost ban jaate hai
Apne dil pe hur ek naam likhte ho kyu
Ek hawa mein yeh raet bankar ud jaate hai

Yeh who panchee hai jo ghar basate nahi
Chand lamhe tehar kar gujar jaate hai

Inpe kasmo ka bhi na asar hai koi
Hai yehi zindagi keh kar badh jaate hai

Inse kasme na lo pyar ke naam par
Har waade se yeh log mukar jaate hai

Na milenge kabhi, “Deepak” yeh unhe bhi pata
Phir se milne ka par waada kar jaate hai