Friday, May 15, 2009


Khali hathon mein kismet ki, rekhayen bhar doge kya

aaj main khush hona chahu, apna mujhko kar doge kya

in raton ki tanhayee ko, tanha hi rehne do beshaq lekin

jisme tum ho aisi, subah nazar kar doge kya

bus ik kachee yaad mein simtey, adhe adhure jeete hain

tum ek puree yaad ko mere, lamho mein bhar doge kya

teri judayee mein yeh phool, kaaton se badhkar chubtey hain

badle mein katon ke apna, makhmal ka bistar doge kya

lout raha hain bechara dil, tooti kashti mein houshla harey

rok ke awara lehron ko, tum shaant samandar doge kya

iss dubtey suraj mein saari, umeed wafa ki duub gayi

ub mujhko nahi intezaar koi, usko khabar kar doge kya

Tum ne suru kiye thea silsiley, ub tumhi khatam kar do inko

Seesha –e-dil hum todtey hain, hathon mein pathar doge kya

Ik Deepak bus jalta jata hain, jaane kya umeed liye

In dubtey palko ko ek akhiri, mulaqat ka manzar doge kya

kisi ke dhadkte dil ka, qaraar to hum hotey hi
Uska ka gum na paya hota, toh aaj kisi ke hotey bhi
Aise rishta tod gaya ki, uske jane ka ub gum bhi nahi
Warna judayee mein hum tanha, dil bhar kar ke rotey bhi

Hijr ka mausam kaise beeta, gur usko samjhana hota
Tanahayee mein taare gin gin, maalaon mein pirotey bhi

Pahunch ke kinare ho jana tha, apne rahon ko anjana
Kuch lamhe aur mil pate toh, hum saahil ko dubotey bhi

Itna hota lout ke aata, wo jo tanha chod gaya hain
Khawab jo ho jata pura toh, hum ek raat ko sotey bhi
Raat hui hai gehri bahut tanhayee ko tara de do
Sagar mein kahi duub na jaye, in moujo ko kinara de do
Aakhir baar safar par hain hum, phirse teri zaroorat hain
Ek kandhe ki kami hain ub bhi, tum hi phir se sahara de do

Mehfil mein bhi tanha rehtey hain, aisey kaisey behlega dil
Dil ko sach gur behlana hain, toh ek yaad tumhara de do

Jub yeh raat mili khawaiish ki, sub kuch khwabo sa ho jaye
Behki behki raat huee hain, bus ik chand aawara de do

Ya toh ishq ki thandak ho, Ya toh jal kar khaakh ho jaye
Dheeme dheeme sulag raha dil, Yadon ka angara de do

Apne naam ki mehndi de kar, jo mere dil ko rang gaya hain
uski yaadon mein zinda hain, wo rangrej dubara de do

sub aate hain raah se pehle manzil aankhon mein lekar
jisko sirf raste ka nasha ho, aisa ek banjara de do