Friday, October 29, 2010

Koun manega meri aankhon mein jalta hain paani

Tej kadmo se doudhta rehta hain, chalta hain paani
Koun manega meri aankhon mein jalta hain paani

Yeh kiske jikr se aaya hain sehraa main sailaab
Aaj meri aankhon mein teherta hi nahi hain paani

Yun toh mitha hi hua karta hai, namkeen nahi
Milta hain gham se toh khud ko badalta hain paani

Yeh wo shay hain aag ko bhi jala deta hain kabhi
Aur kabhi bebaas barsaat mein bhi galta hain paani

Koun sa dard hain, ki zara zara si baaton mein
Aankhon se subah shaam nikalta hain paani

Kuch toh hoga dhoka sa meri aankhon mein “Deepak”
Log kehtey hain ki bewajah hi nikalta hain paani