Wednesday, March 2, 2016

Magar ranzish bhulakar saath chalne ko nahi raazi

 
Ujaale ke dagar tak hi zamaane bhar ki raahein hai
Andhere raaston par koi chalne ko nahi raazi
hum apne darr ke aagey iss kadar laachaar hai logo
Ki martey mar bhi jaayein, umeed palne ko nahi raazi
 
Lipatkar aadato se kabr tak hum aa gaye aakhir
Magar afsos hai phir bhi, badlne ko nahi raazi
 
Safar tanha hai, hum tanha, wo bhi tanhayeeon mein hai
Magar ranzish bhulakar saath chalne ko nahi raazi
 
Zaroorat ghar ki, chukhat par, nangi ho rahi har din
Wo beta kiss nashe mein hain, sambhalne ko nahi raazi
 
Jaane kis tarah ke haadso ne usey pathar banaya hai
Wo itni aanch sehkar bhi, pighalne ko nahi raazi
 
Sab apne aap mein uljhe, zamaane ki kise sudh hai
Koi bhi saksh "deepak" sa jalne ko nahi raazi
 
 
 

Thursday, February 11, 2016

Ki tod kar dil kya mila


Bahut thikaane badal ke dekhe
Sukun e dil phir bhi na mila
Wahi hai unse sawal aakhir
Ki tod kar dil kya mila

Dhadktey dil ke tadptey armaan
Abhi bhi jaltey hai na_mukammal
Yeh zindagi hasrato ka pyala
Kisi ko pura kahaan mila

Wahi hai rasta wahi hai manzil
Usi ke hadh tak ka har safar hai
Yeh ishq bhi uss khuda ke jaise
Kisi lo lekin kahaan mila

Kisi ke haq mein nahi tha tera
Alag ho jaane ka faislaa bhi
Bichad ke faaka raha hu main bhi
Bichad ke tu bhi tanhaa mila

Wo mere bachpan ka chota baccha
Na jaane kisko talasshta hai
Deepak, yehi rashm e ishq hai

Jo Kho gaya phir kahaan mila

Saturday, January 16, 2016

Sambhal ke manzil tak hi tha jaana


Kisi ki baaton mein na aana
Jo dil karega woh gungunana
Hastey chehre ke silwaton mein
Jo gham chupe hai nahi dikhana

Yeh rishtey hai teeliyon se nazuk
Jo zor doge toh toot jaaye
Sambhaale rakhna tijoriyon mein
Inhe kabhi bhi na azmaana

Zamaane bhar ke sitam sahe hai
Na uff kiya na sikayatein ki
Abhi bhi yaad hai maa se aksar
Jara si baaton pe rooth jaana

Dori dori bandhkar gaanth
Yeh saara jeevan gujar dekha
Wahi se judtey hai pakke rishtey
Jahan se mumkin ho toot jaana

Bulandiyon ki kwahisho mein
Sadak ki thokar bhi ajmaya
Azaad hai haar se, jeet se ab
Bahut sahi tha maat khanaa

Safar naya tha yeh jaan kar bhi
Kadam pe bandish nahi lagaya
Bhatak ke paaya hai maine khud ko
Sambhal ke manzil tak hi tha jaana

“Deepak” yehi khawish hai, ki ek din
Wo kar sakey jo wo chahta hai
Andheri raaton mein jugnu banker 

Bhatktey kadmo ko raah laana