Bahut hai gard, bahut sehma sa manjar hai
Har oar chubne ko ek adrishya sa khanjar hai
Main aksar sochta hu, khtam yeh manzar bhi hoga kya
Agar mujhpar yeh aa jaye, Toh jaane phir hoga kya
kamre mein baitha dekhta hu, Aakash ke hadh ko
Kaynaat ke aagey jhukte hue, Insaan ke kad ko
Phir yeh bhi sochta hu, Kya yeh humne banaya hai
Ya phir kudrat ne tang aakar, Yeh azaab laya hai
Kya yahi tak thi humari kahaniyan
Ab hume khtam ho jaana hai,
Kya duniya ki kismet mein ab
Veeraan ho jaana hai,
Meri soch ka kala kothara, daraata hai
Maa ka aanchal aaj bahut yaad aata hai
Aur phir dekhta hu duur andhere, koi Deepak jalata hai
Sehmi aankhen hai uski, magar wo muskurata hai
Kisi gareeb ke bacche ko, koi roti khilata hai…
yeh qaid hi shayad azaadi ke, sahi matlab sikhayega
insaan ke aulaado ko, insaaniyat pe wapas layega,
Isi gardish se nikalega, savera dekhna wo bhi,
jahan itr mein doobi hazaro guftgoo hongi,
jahan dil fek phir bajiyaan dil ki lagayenge
jahan barkat milegi, jashndari ka shama hoga
Bas yeh hai iltija meri,
Ujaale ko loutne ka rasta dena
Jeevan lout_ti hogi
Umeedon ke darwaje khule rakhna