Yeh
dua bhi mili uss khuda ki tarah,
Jo
miley na miley aasraa toh raha
Ishq
mein yaar –e-dil kuch toh haasil hua,
Nazdikiyaan
na sahi faaslaa toh raha
Woh
na chaahey magar naam judd hi gaaye
Log
sochengey kuch maazraa toh raha
Tootkar
kaanch-e-dil, ab yeh janaa sanam
Jaane
ko shehr-e-pathar, raastaa toh raha
Mout
ki karwatein deke ishq so gayi
Mar
gaya hans ke woh baawafaa to raha
Uss
dewaane se kuch, matlab nahi kehti rahi
Aankhon
se uske magar woh jhaanktaa toh raha
“Deepak”
milayega khuda ab unko jaane kis janam
Par
milayega zaroor yeh aasraa toh raha