Andhero mein ujaale ka deepak utar gaya
Din bhi aaj duniya mein aane se darr gaya
Lutne lagi jub betiyaan gharo ke aas paas
Bhagwaan bhi yeh halaat dekhkar sihar gaya
Mandir mein pathron pe ladoo chadhe bahut
Bahar koi faqeer
magar bhuke se mar gaya
Rone lagi insaaniyat phir khud ko paake aaj
Tokre mein anaath ke koi anaaj bhar gaya
Vridho ka ashram ek din mein jub bhara
Kal hoga kya se sochkar makaan darr gaya
Biwi saheed ki jub lagi bheek maangne
Sar Maa bharti ka zammeen gad gaya
Jub betiyon ne pitao_n ke juutey pehen liye
Logo ke sir se bĂȘto_n
ka bukhaar utar gaya
Duniya mein kuch bura nahi “deepak” meri tarah
Khudko sudhaarta hi gaya, main jis dagar gaya