Saturday, July 21, 2012

Raat jaag kar yaadon mein, needo ko gawaya tha




Kuch yaad nahi aata kabhi tujhko bataya tha
Raat jaag kar yaadon mein, needo ko gawaya tha

Qaatil ki nigaahon mein, maqsad ki safayee thi
Phir raat ko shamma ne parwana jalaaya tha

Ek leher ki hadh tak hi,  tha khel nahi jaana
Jub ret ke mehlo mein khawabo ko sajaaya tha

Woh humse mohabatt ka ijhaar nahi karte
Par humko  kasam dekar iqraar karaaya tha

Kuch ishq ki marzi thi, kuch raah mein kaantein tey
Paidal ke musaaphir ne jub haar kamaaya tha

Aayegi zamaane ki baadal pe keher aakhir
Jugnu ki mohabatt mein kal chand chupaaya tha

Koi aag sulagti hain seene mein humesha se
Shabnam ne na  jaane koun sa, angaara bhujaya tha

Andhero ke fat_tey hi, ghar  roshni ayee  hain
Kya jaane yahan  “Deepak”  kisne jalaaya tha


Jahan khoobsurat kahani rahi hai



Jahan khoobsurat kahani rahi hai
Wahi aansuon ki rawaani  rahi hai

Bahut duur se aa raha koi thak kar
Badi bereham zindagani rahi hai

Dil khar khaata nahi haadso se
Yeh waqt ki meherbaani rahi hai

Bahut koshisho mein paheli na suljhi
Zaroor baat koi ruhaani rahi hain

Baeemaan mera beta nahi par
Bahut  mehengi uski nadaani rahi hai

Tabaah ho gaye ishq mein toh yeh jana
Kisi aur ki wo deewaani rahi hai

Gujre hai sab  barood se khel kar
Aasaan kis ki jawaani rahi hai

 Jimmedaari ujaale ki “Deepak”  humesha
Apni toh bas yeh kahaani rahi hai

Thursday, June 14, 2012

Aankhen kya huee bandh, koi sooraj nigal gaya

Aankhen kya huee bandh, koi sooraj nigal gaya
Din bhi raat odhkar andhere mein dhal gaya

Kagaz ki naaw dekh kar, baarish ke paani mein
Bachpan ke  jaise kuch mere  dil mein uchal gaya

Andhere mein jo  diya kabhi  roshan hua kahin
Bacche kitaab padhne lage sab kuch badal gaya

Qismet ki bewafaai ke shikaar hum bhi hain
Kashti ko chod aaye toh toofan tal gaya

Insaan hum pehle nahi, hain hindu, musalman
Rago mein magar khoon kyu ek rang chal gaya

Jo na kehna chahtey tey, wo bhi keh gaye
Chubhkar rahega teer jo kamaan se nikal gaya


Saturday, June 9, 2012

Gul_lakk mein kitne sikkey pade bekaar miley


Gul_lakk mein kitne sikkey pade bekaar miley
Besahaaro ko kahan kabhi madadgaar miley

Baarish wahi huee jahan talaab tey bahut
Sukhe shehar ko baadalo ke sirf kataar miley

Na zidd, na naraajgi, bhuke pet hans ke sotey hain
Bacchey gareebo ke kitne samajhdaar miley

Ungli diya toh haathon se bhi jana pada yahan
Sastey kahan kisi ko kabhi udhaar miley

Bade sehron ke uche minnar, hayat-e-masti hain       
Ajeeb si baat magar, log saare karazdaar miley

Hum toh pehchaan nahi paaye hur roaz ki iss zaldi mein
Zindagi  tumse to hum pehle bhi kayi baar miley

Monday, June 4, 2012

Paon mein bandishen ho beshak hazaaron se


Paon mein bandishen ho beshak hazaaron se
Wo dariyaa kya jo chalak ke na  nikle kinaro se

Jaakar ke dekho uth ta hain toofan kis tarah
Mousam ka maza paa na sakoge akhbaaro se

Samsheer la, lahu baha, zameen ko azad kar
Taqdeer kab badli kisi ki sirf naaro se

Woh farishta tha jo uth gaya mar ke  ek din
Jaakar ke koun louta hain warna mazaaro se

Apna majhab, apna kasba, apne logo se ho milna
Aao dil azaad karaye, dharm ke thekedaaro se

Mouka dekh ke badle hain jo rang, rishtey aur raastey
“Deepak” duur  raha hain hurdum aise ayyaro se

Saturday, April 28, 2012

Yeh dua bhi mili uss khuda ki tarah,


Yeh dua bhi mili uss khuda ki tarah,
Jo miley na miley aasraa toh raha
Ishq mein yaar –e-dil kuch toh haasil hua,
Nazdikiyaan na sahi faaslaa toh raha

Woh na chaahey magar naam judd hi gaaye
Log sochengey kuch maazraa toh raha

Tootkar kaanch-e-dil, ab yeh janaa sanam
Jaane ko shehr-e-pathar, raastaa toh raha

Mout ki karwatein deke ishq so gayi
Mar gaya hans ke woh baawafaa to raha

Uss dewaane se kuch, matlab nahi kehti rahi
Aankhon se uske magar woh jhaanktaa toh raha

“Deepak” milayega khuda ab unko jaane kis janam
Par milayega zaroor yeh aasraa toh raha

Apni ratein kaali kaali, tere badal mein chand sitare

Apni ratein kaali kaali, tere badal mein chand sitare
Humko bhi thodi rehmat dedo, hum bhi hai kismet ke maare

Apne hisse mein hi kyu hai, itne gum itni takleefein
Waise toh yaqeen hain humko, bandey tujkho sub hai pyare

Saagar se saahil ka manzar, hath badhakar chuu ley jaise
Dubey kashti beech bhanwar toh, lagte kitne duur kinare

Tanhaayee ke mausam jaane, jaate jaate kub jaayenge
Kat tey kat tey din kat tey hain, koi kaise saal gujaarey

Bachpan ki galiyon ka yun toh namumkin tha sang rehna
Dhirey dhirey rastey badley, chaltey chaltey chuutey saare

Dhua dhuan hain aankhon mein ansoo ansoo katra katra
Sardi ki galiyon mein koi lekar phirta hain angaare

ik taarey se badal gayi hain taqdeerein na jaane kitno ki
Apni phir bhi qismat footi, toote jaane kitne taare