Yun toh hur manzil mili hai mujhko mere raah ki
Par dil jise talshta hai wo raasta milta nahi
jis tarah main jeeta hu, naam lekar ke tera
teri aankhon mein magar woh vaasta milta nahi
apna sub kuch chod aaye, hai ajnabi tere shehar mein
ub kahan jaye batao, tera pata milta nahi
meri zara si shikan pe, bahon mein bhar leta tha kabhi
gum hai aur tanhayee hai, ub woh khuda milta nahi
fasl e gul hain gulsitaan mein, ronak e bahaar hain
ek mera dil bhi hain, jisme ki kuch khilta nahi
rasta toh hoga hi, sub pahunch rahe hain makaam par
hai kami mujhme hi kuch, mujhe rasta milta nahi
pehle ladta tha mere hur soch pe apni soch se
ub yeh hain ki sawalo ka jawab bhi milta nahi
maine faysla zindagi ka kar diya tere naam se
teri ankhon mein magar wo faysla milta nahi
tum gaye toh gayi meri ruuh mujhko chod kar
main ub bhi khilta hu magar, uss phool sa khilta nahi
sadiyan gujar gayi, ek nazar ke intezaar mein
tere ankhon mein magar woh vaasta milta nahi
Tuesday, December 2, 2008
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment