Khali hathon mein kismet ki, rekhayen bhar doge kya
aaj main khush hona chahu, apna mujhko kar doge kya
in raton ki tanhayee ko, tanha hi rehne do beshaq lekin
jisme tum ho aisi, subah nazar kar doge kya
bus ik kachee yaad mein simtey, adhe adhure jeete hain
tum ek puree yaad ko mere, lamho mein bhar doge kya
teri judayee mein yeh phool, kaaton se badhkar chubtey hain
badle mein katon ke apna, makhmal ka bistar doge kya
lout raha hain bechara dil, tooti kashti mein houshla harey
rok ke awara lehron ko, tum shaant samandar doge kya
iss dubtey suraj mein saari, umeed wafa ki duub gayi
ub mujhko nahi intezaar koi, usko khabar kar doge kya
Tum ne suru kiye thea silsiley, ub tumhi khatam kar do inko
Seesha –e-dil hum todtey hain, hathon mein pathar doge kya
Ik Deepak bus jalta jata hain, jaane kya umeed liye
In dubtey palko ko ek akhiri, mulaqat ka manzar doge kya
No comments:
Post a Comment