Friday, May 15, 2009

kisi ke dhadkte dil ka, qaraar to hum hotey hi
Uska ka gum na paya hota, toh aaj kisi ke hotey bhi
Aise rishta tod gaya ki, uske jane ka ub gum bhi nahi
Warna judayee mein hum tanha, dil bhar kar ke rotey bhi

Hijr ka mausam kaise beeta, gur usko samjhana hota
Tanahayee mein taare gin gin, maalaon mein pirotey bhi

Pahunch ke kinare ho jana tha, apne rahon ko anjana
Kuch lamhe aur mil pate toh, hum saahil ko dubotey bhi

Itna hota lout ke aata, wo jo tanha chod gaya hain
Khawab jo ho jata pura toh, hum ek raat ko sotey bhi
Raat hui hai gehri bahut tanhayee ko tara de do
Sagar mein kahi duub na jaye, in moujo ko kinara de do
Aakhir baar safar par hain hum, phirse teri zaroorat hain
Ek kandhe ki kami hain ub bhi, tum hi phir se sahara de do

Mehfil mein bhi tanha rehtey hain, aisey kaisey behlega dil
Dil ko sach gur behlana hain, toh ek yaad tumhara de do

Jub yeh raat mili khawaiish ki, sub kuch khwabo sa ho jaye
Behki behki raat huee hain, bus ik chand aawara de do

Ya toh ishq ki thandak ho, Ya toh jal kar khaakh ho jaye
Dheeme dheeme sulag raha dil, Yadon ka angara de do

Apne naam ki mehndi de kar, jo mere dil ko rang gaya hain
uski yaadon mein zinda hain, wo rangrej dubara de do

sub aate hain raah se pehle manzil aankhon mein lekar
jisko sirf raste ka nasha ho, aisa ek banjara de do

Wednesday, December 3, 2008

Usne ek baar hi sahi gur mujhko pukara hota

Usne ek baar hi sahi gur mujhko pukara hota
Mujhe saari duniya chodkar aana bhi gawara hota

Labjo mein kahi baatein, ub yaad nahi aate
Kaash un lamho ko khamosh gujara hota

Kal raat jo aa jate tum waade par milne ko
Chehra tumhara dekhne ko chand utara hota

Bekaar gayi hain meri yeh mout bhi akhir mein
Teri judayee mein marta, toh shayad sitara hota

Aisi bhi kabhi milti humko, ek raat murado ki
Jub raat teherti kashti mein, aur duur kinara hota

Taqdeer likhnewale ne, tera gum hi likha tha warna
�Deepak� yeh yaqeen tha humko, tu bhi humara hota

Hoton par rakhta hu hur baat dabakar

Hoton par rakhta hu hur baat dabakar
Kya jane kis baat ko wo dil se laga le
Hur raat yehi sochkar rehta hu main jaga
Kya jane kis waqt khawabo mein bula le

Jis tarah tu jeeta hain, khud mein simatkar
Mujhe durr hain kahi khud ko tanha na bana le

Ik raat mili tum sung toh dil bekhud sa ho gaya
kehta hai iss raat ke baad phir ek raat saja le

mil jaye tujhe manzil, mujhe chod dena beshak
raaste ke liye hi sahi mujhe humraah bana le

tere nazdeek ek pal ke liye, manzoor hain kuch bhi
mujhko tu apne raah ka pathar hi bana le

kabhi labjo mein nahi bolunga ub dil ka fasana
tu mere aankhon ko padhne ki ub aadat si bana le

waise bhi tumhe fiqr kahan thi kabhi meri
ub meri baat na samjhne ka bahana hi bana le

yun bhi na reh tu banke ek namumkin si hasrat
aisa na hone ki paane ki tujhe koi zidd hi bana le

lagta hain aaj aandhi mein, andhera bhi mil gaya
ladna hain tujhe dono se toh Deepak hi jala le

Tuesday, December 2, 2008

Dil tumhe bhulane ko tayyar ho gaya

Dil tumhe bhulane ko tayyar ho gaya
Main bhi sochta hu usko kya waasta diya
chalte chalte aa gaya wapas main phir wahi
Tumne yeh manzilon ka kaisa rasta diya

Haathon ki yeh laqeer hi kismet na ban saki
Tumse kare gila kya, tumne wafa nahi kiya

Aaoge raat khawabo main, wada kya kar gaye
Meri nazar ko chaand ka saathi bana diya

Waise toh yeh hisaab bhi barabar sa lag raha
Tumne na rakha yaad, kuch maine bhula diya

Teri zudayee ko maine muqaddar nahi kaha
Teri yaad tanha reh gayi, toh usey apna bana liya

Tujhko mere gum se, jara bhi na gum lage
maine hasi ke peeche sub kuch chupa liya

jub tak raha tera naam, roshan kiya andhera
armaan jal gaye toh Deepak bhuja diya

jane koun aanewala hain, aaj in rahon mein

jane koun aanewala hain, aaj in rahon mein
ajeeb hulchul hain shaam se meri nigahon mein
kabhi raste pe kabhi dehleej pe, besabar jhaank aata hain
aaj raat samata hi nahi hain meri nigahon mein

gum intehaan leti hain mera, toh zamane se chupane ke liye
yeh koun aakar hain muskurata meri nigahon mein

mujhko tanhayee ka ek pal bhi na kare pareshan
khud ko hur baar baandh kar hain jata meri nigahon mein

yeh koun fikrmand hai mera, mere liye mujhse zyada
apne hisse ki khushi aksar hain bhool jata meri nigahon mein

saari duniya mein koi mujhsa nahi hai uske liye shayad
tab hi toh zamana chod kar hain aata meri nigahon mein

bujh jate hain jub jal ke roshini wale, toh mere liye
khud ko Deepak sa hain jalata meri nigahon mein

Yun toh hur manzil mili hai mujhko mere raah ki

Yun toh hur manzil mili hai mujhko mere raah ki
Par dil jise talshta hai wo raasta milta nahi
jis tarah main jeeta hu, naam lekar ke tera
teri aankhon mein magar woh vaasta milta nahi

apna sub kuch chod aaye, hai ajnabi tere shehar mein
ub kahan jaye batao, tera pata milta nahi

meri zara si shikan pe, bahon mein bhar leta tha kabhi
gum hai aur tanhayee hai, ub woh khuda milta nahi

fasl e gul hain gulsitaan mein, ronak e bahaar hain
ek mera dil bhi hain, jisme ki kuch khilta nahi

rasta toh hoga hi, sub pahunch rahe hain makaam par
hai kami mujhme hi kuch, mujhe rasta milta nahi

pehle ladta tha mere hur soch pe apni soch se
ub yeh hain ki sawalo ka jawab bhi milta nahi

maine faysla zindagi ka kar diya tere naam se
teri ankhon mein magar wo faysla milta nahi

tum gaye toh gayi meri ruuh mujhko chod kar
main ub bhi khilta hu magar, uss phool sa khilta nahi

sadiyan gujar gayi, ek nazar ke intezaar mein
tere ankhon mein magar woh vaasta milta nahi