Saturday, August 14, 2010
Kahan hain waqt ka marham, sukhane kyu nahi aata
Mujhe dar hain zakhm-e-ruuh kahin jaan na le le
Zamane se alag khud ko nazarband kar jo rakha hain
Kahin yeh dour-e-tanhayee meri pehchaan na le le
Bahut din ho gaye bhukhe rahe, bekaari mein logon
Kahin yeh pet ki agni mera imaan na le le
Kisi se baant_ney ko dard, dil itna umaada hain
Kahin ehsaan jatanewalo ka, ehsaan na le le
Zara sa mud ke dekha hain uss parda nashi ne aaj
Nahi koi doosra mujhsa, dil gumaan na le le
tum apne ishq ka ehtiyaat se, izhaar karna aaj
Naya parinda hain yeh aur, uchee udaan na le le
Bahut rangat bhikhren hain naye mousam ne aate hi
Magar badle mein ek din, hoton ki muskaan na le le
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment