Taqdeer haath lekar, galiyon mein doudta hain
Bacche ke paas khelne ko, aur kuch nahi raha
Mayushi, dard –e- gam ko, jewar bana liya hain
Apni tabaahi ka usey, darr kuch nahi raha
Din ke ujaley loot gaye, hain luterey usko
Andhere ke zaalimo ka, darr kuch nahi raha
Shehron ne iss kadar kiya taiyyar aadmi ko
Jungle mein ghumne ka, darr kuch nahi raha
Saahil pe mout jheltey, jeetey hain iss kadar
Toofan mein dubane ka, darr kuch nahi raha
Rishton ka aaj kya hain, raste pe bik rahe hain
Nato ke tootne ka, darr kuch nahi raha
Maa ki dua liye woh, chal diya aandhiyon mein
“Deepak” ko bujhne ka, darr kuch nahi raha
Saturday, August 14, 2010
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment