Nahi hota agar main toh wahan koi doosra hota
Mohabatt ka kisi par toh kehar phir bhi gira hota
kisi ke aashiyane ko tabaah hona tha bijli se
kisi ka ghar nahi milta, toh mere ghar gira hota
main usko rok leta ishq ka, koi waasta dekar
ek katraa bhi nigahon se jo ansoo ka gira hota
Wo saare pal main chunn leta, jo uske sang na ji paaya
gujarte waqt ke haathon se gar lamha gira hota
sambhal pata kabhi main farz ki adaayeegi se gar
toh kisi pardanashi ke ishq mein jaakar gira hota
jo mere haathon mein ek toot-ta tara likha hota
toh sunepan mein mere chaand ka tukda gira hota
Saturday, August 14, 2010
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment