Saturday, August 14, 2010

Taqdeer haath lekar, galiyon mein doudta hain

Taqdeer haath lekar, galiyon mein doudta hain
Bacche ke paas khelne ko, aur kuch nahi raha
Mayushi, dard –e- gam ko, jewar bana liya hain
Apni tabaahi ka usey, darr kuch nahi raha

Din ke ujaley loot gaye, hain luterey usko
Andhere ke zaalimo ka, darr kuch nahi raha

Shehron ne iss kadar kiya taiyyar aadmi ko
Jungle mein ghumne ka, darr kuch nahi raha

Saahil pe mout jheltey, jeetey hain iss kadar
Toofan mein dubane ka, darr kuch nahi raha

Rishton ka aaj kya hain, raste pe bik rahe hain
Nato ke tootne ka, darr kuch nahi raha

Maa ki dua liye woh, chal diya aandhiyon mein
“Deepak” ko bujhne ka, darr kuch nahi raha

Kya jane kis waqt khawabo mein bula le

Hoton pe rakhta hu hur baat dabakar
Kya jane kis baat ko tu dil se laga le
Hur raat yehi sochkar rehta hu main jaga
Kya jane kis waqt khawabo mein bula le

Jis tarah tu jeeta hain, khud mein hi simatkar
Mujhe durr hain kahi khud ko tanha na bana le

Ik raat mili tum sung, bekhud sa ho gaya dil
kehta hai baad raat ke phir raat saja le

mil jayegi manzil, toh mujhe chod dena tum
Jab tak hain faasle mujhe humraah bana le

tujhse kareebi ke liye, manzoor hain kuch bhi
mujhko tu apne raah ka pathar hi bana le

Labjo mein nahi bolunga ub dil ka fasana
aankhon ko meri padhne ki aadat si bana le

bankar na firo tum, ek namumkin si hasrat
aisa na ho tujhe paane ki, koi ziddh hi bana le

lagta hain aaj aandhi mein, andhera bhi mil gaya
ladna hain tujhe dono se toh “Deepak” hi jala le

Kahan hain waqt ka marham, sukhane kyu nahi aata


Mujhe dar hain zakhm-e-ruuh kahin jaan na le le
Zamane se alag khud ko nazarband kar jo rakha hain
Kahin yeh dour-e-tanhayee meri pehchaan na le le

Bahut din ho gaye bhukhe rahe, bekaari mein logon
Kahin yeh pet ki agni mera imaan na le le

Kisi se baant_ney ko dard, dil itna umaada hain
Kahin ehsaan jatanewalo ka, ehsaan na le le

Zara sa mud ke dekha hain uss parda nashi ne aaj
Nahi koi doosra mujhsa, dil gumaan na le le

tum apne ishq ka ehtiyaat se, izhaar karna aaj
Naya parinda hain yeh aur, uchee udaan na le le

Bahut rangat bhikhren hain naye mousam ne aate hi
Magar badle mein ek din, hoton ki muskaan na le le

Thursday, July 23, 2009

Mohabatt ke fasane mei.N, Kahaa.N Har Baat aayi hai

Mohabatt ke fasane mei.N, Kahaa.N Har Baat aayi hai
Jahan tak dooba hai sooraj, wahi tak raat aayi hai

Muqaddar mei.N nahi hai, ishq ki galiyon ka yaarana
Jahan bhi dil tatola hai, wahi par maat khayi hai

Laga kar dil se kaataa.N, jis kali ko raat bhar seecha
Subah Uss phool ko le jane ghar, baraat aayi hain

Nahi aaya kabhi koi, mujhtak waqt ke rehte
Nashemann khaakH hua jalkar, ki ab barsaat aayi hai

Thehernaa hi padega waqt ko, aaj iss mukaa.M aakar
Bahut siddat se manga hai, toh yeh mulaqat aayi hai

Kisi ke julf mei.N faskar, ujala reh gaya hoga
Warna kya wajah hai, raat ke baad raat aaayi hain

‘Deepak” yeh pathar raah ke, ab thokar nahi dete
Yeh dil becahara hai.N, unke samajh baat aayi hain

Friday, May 15, 2009


Khali hathon mein kismet ki, rekhayen bhar doge kya

aaj main khush hona chahu, apna mujhko kar doge kya

in raton ki tanhayee ko, tanha hi rehne do beshaq lekin

jisme tum ho aisi, subah nazar kar doge kya

bus ik kachee yaad mein simtey, adhe adhure jeete hain

tum ek puree yaad ko mere, lamho mein bhar doge kya

teri judayee mein yeh phool, kaaton se badhkar chubtey hain

badle mein katon ke apna, makhmal ka bistar doge kya

lout raha hain bechara dil, tooti kashti mein houshla harey

rok ke awara lehron ko, tum shaant samandar doge kya

iss dubtey suraj mein saari, umeed wafa ki duub gayi

ub mujhko nahi intezaar koi, usko khabar kar doge kya

Tum ne suru kiye thea silsiley, ub tumhi khatam kar do inko

Seesha –e-dil hum todtey hain, hathon mein pathar doge kya

Ik Deepak bus jalta jata hain, jaane kya umeed liye

In dubtey palko ko ek akhiri, mulaqat ka manzar doge kya

kisi ke dhadkte dil ka, qaraar to hum hotey hi
Uska ka gum na paya hota, toh aaj kisi ke hotey bhi
Aise rishta tod gaya ki, uske jane ka ub gum bhi nahi
Warna judayee mein hum tanha, dil bhar kar ke rotey bhi

Hijr ka mausam kaise beeta, gur usko samjhana hota
Tanahayee mein taare gin gin, maalaon mein pirotey bhi

Pahunch ke kinare ho jana tha, apne rahon ko anjana
Kuch lamhe aur mil pate toh, hum saahil ko dubotey bhi

Itna hota lout ke aata, wo jo tanha chod gaya hain
Khawab jo ho jata pura toh, hum ek raat ko sotey bhi
Raat hui hai gehri bahut tanhayee ko tara de do
Sagar mein kahi duub na jaye, in moujo ko kinara de do
Aakhir baar safar par hain hum, phirse teri zaroorat hain
Ek kandhe ki kami hain ub bhi, tum hi phir se sahara de do

Mehfil mein bhi tanha rehtey hain, aisey kaisey behlega dil
Dil ko sach gur behlana hain, toh ek yaad tumhara de do

Jub yeh raat mili khawaiish ki, sub kuch khwabo sa ho jaye
Behki behki raat huee hain, bus ik chand aawara de do

Ya toh ishq ki thandak ho, Ya toh jal kar khaakh ho jaye
Dheeme dheeme sulag raha dil, Yadon ka angara de do

Apne naam ki mehndi de kar, jo mere dil ko rang gaya hain
uski yaadon mein zinda hain, wo rangrej dubara de do

sub aate hain raah se pehle manzil aankhon mein lekar
jisko sirf raste ka nasha ho, aisa ek banjara de do