Wednesday, April 23, 2008

shaant se udte hue badal yeh kidhar jaatein hain

shaant se udte hue badal yeh kidhar jaatein hain
paed se tute hue patte yeh kidhar jaate hain
kitni shiddatt se bhi dhundo toh nahi milte
jaane hokar ke juda log kidhar jaate hain

kahi toh hota hoga inka bhi theekana warna
shaam dhalte hi ujale yeh kidhar jaate hain

subah hote hi, haqeeqat mein badalte honge shayad
ankhon se nikal ke warna yeh khawaab kidhar jaate hain

hur safar ki takdeer mein nahi hota hai pura hona
jinhe nahi milti hai manzil woh raste kidhar jaate hain

jalne se pehle kya tune bhi kabhi socha deepak
tere ujale se jalkar, andhere yeh kidhar jaate hai

Friday, April 18, 2008

ishq ki gehrayeeon mein utar ke dekha

Ishq ki gehrayeeon mein utar kar dekha
Dard hi dard hai tumpe mar ke dekha

Who is baar mujhe samet lega shayad,
Is umeed pe hur baar bikhar ke dekha

Dil ko thi Khudkushi ki tamanna, deepak,
tere nigahon mein tehar ke dekha

uski berukhi mein nahi aaee thodi bhi narmi
who jo chahta tha waise, bhi sawar ke dekha

ub mere dard bhi usko, rok nahi pate
palkon mein samundar bhar ke dekha

zindagi haath chudakar, kehne lagi khuda hafeez
ek baar uske pyar se jo mukar ke dekha

Deepak yeh tum bhi jante ho, uske bin sirf andhera hoga
Ghut gaye roshini ko, jo andhera kar ke dekha

Thursday, April 17, 2008

Jub kati raat toh subah sajane nikle

Jub kati raat toh subah sajane nikle
Tum mile raah mein phir zakhm purane nikle

Maine gum ki aandhi ko dubaye rakha tha ub tak
Aaj hue balgaam to mera wajood mitane nikle

Ek sach hai jo kiad hai seene mein, dharohar ki tarah
Nakam mohabatt ke waise to kitne fasane nikle

Unko to todna tha rishta, who tay karke aye thea
Hur ek baat ke bebaat bahane nikle

Zindagi khtam hui us raat usi lamhe pe
Abhi zinda hai, aur kehne ko zamane nikle

yeh fikra hai, koi dekh na le tujhko mere gum mein
Jub bhara dil to zazbaat chupane nikle

Dum sadhe khadi hai saari kaynaat mere dehri par
Yeh koun sa gum hai, jo hum aaj sunane nikle

Tu bhi sochega beechadkar kya insane hai Deepak
Andheri rahon mein tere khud ko jalane nikle

Kabhi is tarah bhi aao mere gareeb khane mein

Kabhi is tarah bhi aao mere gareeb khane mein
Ki shahjahan ka mahal bhi kum lage dikhane mein

Tere ishq ke nashe mein chur hai sehar sara bhala ho
Ub jam nahi tuta karte hai sharab khane mein

Yeh bhi theek hai ki use dard banakar rakh le ta umra
Jo maza ishq chupane mein hai, woh kahan jatane mein

Yeh raat jo kali hai, isme se hi hoga savera
Umeed hai toofan mein, Deepak ko jalane mein

Jub haath hue peele, tub jaake kaha tumne
Kuch milta nahi hai yun, ansoo chalkane mein

Ilzaam nahi dete hai unhe apni tabahi ka, yun kehkar
Dil toot gaya hoga unse shayad anjaane mein

Aashaon ke deep jale hai

Aashaon ke deep jale hai
Aaj toh roko Tejh hawayen
Kitni mushkil se aati hai
Yaadein unki bhatak na jaye
……………………..

Aankh mein veerano ki mehfil
Suna panghat, sune lamhe
Maan mein ghaant jo bandh gaye thea
Dheere dheere khulne laga hai
Tum keh ke gaye thea saath rahoge
Umeed ka suraj dubne laga hai
Ek baar sajan tum has do badal mein
Hum ko bhi ehsas ho tum ho
Kala samundar bhuuk se vyakul
Dekh raha hai aankh beechaye
Kashti ka patwaar nahi hai
Aur sajan tumhe kya samjhaye
…..
Aashaon ke deep jale hai
Aaj toh roko Tejh hawayen
……………………………

Raat to parvat ki fungi par
Aakar jaise thum hi gaya hai
Subah bhi kale shaam bhi kaale
kala sa kuch jum hi gaya hai
tum aao to aaye savera
bandh bahon ka khul jaye ghera
maan ka panchee tod ke pinjara
bole saara aalam hai mera
humne ruuh se cheen ke dhadkan
teri rahon pe chod diya hai
tum jub aaoge to samet lana
tum bin jeena humko nahi bhaye

……..
Aashaon ke deep jale hai
Aaj toh roko Tejh hawayen
Kitni mushkil se aati hai
Yaadein unki bhatak na jaye