Friday, June 6, 2008

Zahar mohbatt ka wo peena chahta hai

Zahar mohbatt ka wo peena chahta hai
Baad uske ub wo jeena chahta hai

Khoob raha hai pathjhad khilana gum sajana lekin
Ub iske baad wo baharo ka maheena chahta hai

Itni jalan hai ki ub chaon bhi jalne lagi hai
Par Yeh dhoop hai ki aur paseena chahta hai

Jane kaisa hisaab hai uska kaise cheezein toul-ta hai
Pathar de raha hai badle mein nageena chahta hai

Chod deta hai thamkar, hurbaar mera daaman koi

Chod deta hai thamkar, hurbaar mera daaman koi
Kabhi yun bhi hota ai zindagi yahan thehar jata koi
Ub toh yeh tanhayee bhi maang ne lagi hai izazat
Bhool kar rasta sahi, ik baar idhar aata koi

Maine kitne logo ke, aankhon mein ishq ko dekha hai
Ai kaash meri hasi mein bhi, chupkar ke muskrata koi

Geeli ankhon se wo mana ki zuda hona hi behtar hai
Jo baat usse hum samjha aye, humko bhi samjhata koi

Tumse bichadkar ub hum jaye kahan tanha

Tumse bichadkar ub hum jaye kahan tanha
Akeli hai zami aur kuch hai aasmaan tanha
Sarhado pe duur se, abaad dikhte hai
Gujar ke dekhlo yahan hur makaan hai tanha

Iss josh mein nikal gaye ghar se ki rok lega koi humko
Koi puchne bhi nahi aya ki jate hai kahan tanha

Jub hua kisi aur ke saath, toh logo ne tham liya lekin
Haadsa meri zindagi mein aaya toh ho gaya tanha

Awaara parwana nahi aaya phir wada kar ke
Raat bhar zali hai intezaar mein yeh shama tanha

Tum bhi ro padoge meri tasveer ko laga kar dil se
Ek din hum chod jayenge tera jahan tanha

Deepak hu main, Mujhse na pucho, rishto ke mane
Main hi jala karta hu majaro pe hur raat tanha