Tuesday, July 22, 2008

andhera hua toh kahan kho gaya hai

andhera hua toh kahan kho gaya hai
mohabatt tha shayad, dhua ho gaya hai

kuch to hai baat thokar mein uske
jidhar chal diya rasta ho gaya hai

badalne laga hai nigahon ka mousam
sardi mein bhi aag sa ho gaya hai

sambhala bahut humne nadaan dil ko
muhabatt ka phir hadsaa ho gaya hai

chand labjo ki thii, durriyan na ghatayii
ub umra bhar ka faasla ho gaya hai

udhar ke pal jee ke woh udd chala
tanha bahut karwaan ho gaya hai

roshini chubhti hai koi deepak bujhao
andhera mera yaar sa ho gaya hai

tumne jo hans ke aankhon mein ansoo chupa liya

tumne jo hans ke aankhon mein ansoo chupa liya
humne bhi aaj pal bhar ko apna gum bhula diya

teri hasi mein aaj mera gum nahi dikha
dil kehta hai aaj maine tujhko gawa diya

hoton pe aate aate meri hur baat reh gayi
kya bataye koun si bebasi ne ruka diya

dukhte dil ko kisi shaey se rahat nahi mila
thandi hawa ne aag sa manjar bana diya

haal e dil keh na sake, likh diya tere naam se
sitam waqt ka, ki wo panna mita diya

tumne toh bewajah hi mujhe dekh hasn diya
humne yeh zindagi, usii sahare beeta liya

badal ke naam par yeh kaali raat kya ayee
mausam ne mere aankhon ka tara chura liya

Rota raha woh tod ke dil kuch iss tarah,

Rota raha woh tod ke dil kuch iss tarah,
jaise ki khoon uske dil se nikal raha
uski bhi cheekh nikal rahi hain mere saath saath ,
apni lagayi aag mein woh bhi hai jal raha

apna na ban saka kabhi, na begana hi ban saka
na jane ub woh koun se rishton mein dhal raha

hans leta hain mujhko dekh kar raho mein aaj kal
lagta hai akhir kaar wo pathar pighal raha

majhdhaar mein mila toh, darayaa bahut mujhe
saahil pe aate aate samundar badal raha

chehre pe uske jhuuti hasi ka naqaab hain
na jane hans ke koun sa woh gum nigal raha

teri chamak ke badle usey chand mil gaya
Deepak tu intezaar mein bekaar jal raha