Wednesday, April 22, 2020

Umeedon ke darwaje khule rakhna





Bahut hai gard,  bahut sehma sa manjar hai
Har oar chubne ko ek adrishya sa khanjar hai
Main aksar sochta hu, khtam yeh manzar bhi hoga kya
Agar mujhpar yeh aa jaye, Toh jaane phir hoga kya
kamre mein baitha dekhta hu, Aakash ke hadh ko
Kaynaat ke aagey jhukte hue, Insaan ke kad ko
Phir yeh bhi sochta hu, Kya yeh humne banaya hai
Ya phir kudrat ne tang aakar, Yeh azaab laya hai
Kya yahi tak thi humari kahaniyan
Ab hume khtam ho jaana hai,
Kya duniya ki kismet mein ab
Veeraan ho jaana hai,
Meri soch ka kala kothara, daraata hai
Maa ka aanchal aaj bahut yaad aata hai
Aur phir dekhta hu duur andhere, koi Deepak jalata hai
Sehmi aankhen hai uski, magar wo muskurata hai
Kisi gareeb ke bacche ko, koi roti khilata hai

yeh qaid hi shayad azaadi ke, sahi matlab sikhayega
insaan ke aulaado ko, insaaniyat pe wapas layega,
Isi gardish se nikalega, savera dekhna wo bhi,
jahan itr mein doobi hazaro guftgoo hongi,
jahan dil fek phir bajiyaan dil ki lagayenge
jahan barkat milegi, jashndari ka shama hoga

Bas yeh hai iltija meri,
Ujaale ko loutne ka rasta dena
Jeevan lout_ti hogi
Umeedon ke darwaje khule rakhna

Sunday, July 21, 2019

Kaun nahi jeeta duniya mein Apne hissey ka paap liye



Ghumta hai har saksh yahan
Karmo ka abhishaap liye
Kaun nahi jeeta duniya mein
Apne hissey ka paap liye

Insaan hu apne gunaaho ka
Main Prayischit kar lunga
Tu bhi bataa de waqt kahan
Jayega Apne paap liye

Das ke rahega dekhna aakhir
Ek din tumko bhi yeh bharosa
Log yahan miltey hai gale
aastino mein saanp liye

Haath se tere nikal gayi hai
Teri banaayi hui yeh duniya
Pathar sa baitha hai bhagwan
Ahilya ka jaise shraap liye

Daulat sohrat tamasha kar le
Antim sach toh do gaj hi hai
Maati tere janm sa baithi
kabr ka tere naap liye

taan ke chillum, rang ke maatha
Dikhta tyaag ka murat koi,
jogi jag se duur hua na
saikdo mantar jaap liye

Har yug mein ek raavan hi
Raam ka vajud banata hai
Sach duniya mein aata hai, Deepak
Jhoot ka jaise shraap liye


Thursday, September 20, 2018

Neend phir rasta bhatak rahi hai





Neend phir rasta bhatak rahi hai
Raat yaadon mein atak rahi hai
Khawab sirhane baithkar kabse
Sach ki parchayeeyan jhatak rahi hai

Zindagi jo mila tujhse, ajab haal hi mila
Umeed bhi mili toh, tinke se latak rahi hai

Tu bhi jamure samjhega, kya khel zindagi hai
Woh bacchee ek taar par, kaise matak rahi hai

Koi noch na le pankh uske, udaan se pehle
Ek phool chaman mein, sabko khatak rahi hai

Waade ki raat himmat hai, ghar par dari hui
Taqdeer aake darwaje par, matha patak rahi hai

Gujre waqt mein jaakar, usey modna hoga
Ek raah haath chutkar, ab tak bhatak rahi hai

Tuesday, May 1, 2018

Uske na hone ki hai kami shayad



Kuch toh lafzo ki hai kami shayad, Iss liye palko pe hai nami shayad
Waqt ke aanch se bhi nahi pighli, Yaadein sadiyon se hai zami shayad

Chod jaatey hai jis tarah maazhi, beparwah beech lehro mein,
Yun bhi lagta hai kashtiyon ka, doob jaana hai laajmi shayad

Gujre lamhe hai, loutkar aana, kahan hota hai inki fitrat mein
Ladti rehti hai naseebo se hardum, koi umeed hai thami shayad

Raat ki raani ussey bulati hai, chedkar apne deh ki khusboo
-->
Tod leti hai har subah khud ko, uske na hone ki hai kami shayad

--> -->

Sunday, August 13, 2017

Chehre pe sab likh jaata hai

Libaas mein chupa leta hai tan
Mann nanga, dikh jaata hai
kaisi hai zarooratein na jaane
Har keemat par bik jaata hai

Jhooti hasi mein log na jaane
Kitne zakhm chupana chahe
Waqt apni siyahi se par
Chehre pe sab likh jaata hai

Wo jaane tinke ki keemat
Jinko tinka tak nahi milta
Chote chote patharo par
kaise parvat tik jaata hai

umar se jyaada jeene ki
kosish hai bekar na samjhe
jitna bhi ho gehra nishaa
saagar ke reat pe mit jaata hai