Mohabatt ke fasane mei.N, Kahaa.N Har Baat aayi hai
Jahan tak dooba hai sooraj, wahi tak raat aayi hai
Muqaddar mei.N nahi hai, ishq ki galiyon ka yaarana
Jahan bhi dil tatola hai, wahi par maat khayi hai
Laga kar dil se kaataa.N, jis kali ko raat bhar seecha
Subah Uss phool ko le jane ghar, baraat aayi hain
Nahi aaya kabhi koi, mujhtak waqt ke rehte
Nashemann khaakH hua jalkar, ki ab barsaat aayi hai
Thehernaa hi padega waqt ko, aaj iss mukaa.M aakar
Bahut siddat se manga hai, toh yeh mulaqat aayi hai
Kisi ke julf mei.N faskar, ujala reh gaya hoga
Warna kya wajah hai, raat ke baad raat aaayi hain
‘Deepak” yeh pathar raah ke, ab thokar nahi dete
Yeh dil becahara hai.N, unke samajh baat aayi hain
Thursday, July 23, 2009
Mohabatt ke fasane mei.N, Kahaa.N Har Baat aayi hai
Friday, May 15, 2009
Khali hathon mein kismet ki, rekhayen bhar doge kya
aaj main khush hona chahu, apna mujhko kar doge kya
in raton ki tanhayee ko, tanha hi rehne do beshaq lekin
jisme tum ho aisi, subah nazar kar doge kya
bus ik kachee yaad mein simtey, adhe adhure jeete hain
tum ek puree yaad ko mere, lamho mein bhar doge kya
teri judayee mein yeh phool, kaaton se badhkar chubtey hain
badle mein katon ke apna, makhmal ka bistar doge kya
lout raha hain bechara dil, tooti kashti mein houshla harey
rok ke awara lehron ko, tum shaant samandar doge kya
iss dubtey suraj mein saari, umeed wafa ki duub gayi
ub mujhko nahi intezaar koi, usko khabar kar doge kya
Tum ne suru kiye thea silsiley, ub tumhi khatam kar do inko
Seesha –e-dil hum todtey hain, hathon mein pathar doge kya
Ik Deepak bus jalta jata hain, jaane kya umeed liye
In dubtey palko ko ek akhiri, mulaqat ka manzar doge kya
Uska ka gum na paya hota, toh aaj kisi ke hotey bhi
Aise rishta tod gaya ki, uske jane ka ub gum bhi nahi
Warna judayee mein hum tanha, dil bhar kar ke rotey bhi
Hijr ka mausam kaise beeta, gur usko samjhana hota
Tanahayee mein taare gin gin, maalaon mein pirotey bhi
Pahunch ke kinare ho jana tha, apne rahon ko anjana
Kuch lamhe aur mil pate toh, hum saahil ko dubotey bhi
Itna hota lout ke aata, wo jo tanha chod gaya hain
Khawab jo ho jata pura toh, hum ek raat ko sotey bhi
Sagar mein kahi duub na jaye, in moujo ko kinara de do
Aakhir baar safar par hain hum, phirse teri zaroorat hain
Ek kandhe ki kami hain ub bhi, tum hi phir se sahara de do
Mehfil mein bhi tanha rehtey hain, aisey kaisey behlega dil
Dil ko sach gur behlana hain, toh ek yaad tumhara de do
Jub yeh raat mili khawaiish ki, sub kuch khwabo sa ho jaye
Behki behki raat huee hain, bus ik chand aawara de do
Ya toh ishq ki thandak ho, Ya toh jal kar khaakh ho jaye
Dheeme dheeme sulag raha dil, Yadon ka angara de do
Apne naam ki mehndi de kar, jo mere dil ko rang gaya hain
uski yaadon mein zinda hain, wo rangrej dubara de do
sub aate hain raah se pehle manzil aankhon mein lekar
jisko sirf raste ka nasha ho, aisa ek banjara de do