Mere paas tak subah na aayee, Andhere samaaye hain kya karu
Mere khawab saare gaye hain duub, dil duub jaaye toh kya karu
Badi mushqilo se ek akhiri koshish, Sajayee bahaar ne
Yeh rang e gul, gulnaar mujhko, Na raas aaye toh kya karu
pehchaan meri hain ban rah , Yeh jo mujhsa mujhe mein hain doosra
Mera apna hi wazood mujhko, na rok paaye toh kya karu
Koi hota toh umeed rakh, main chal bhi deta ai zindagi
Mujhe tanha kadmo ka safar, lubha na paaye toh kya karu
Wo tadap ke mere khayaalo mein, aane ki karta hain khwaishein
Dil milkar uss se khwabo mein, wahi tehar jaaye toh kya karu
“Deepak” Ummeed in lamho mein, kayi kashmakash mein padi rahi
Wahi mout badhkar ke mujhe, gale se lagaaye toh kya karu
Sunday, January 29, 2012
Subscribe to:
Posts (Atom)