Friday, December 21, 2012

Chaand aaye tere baahon mein sawarne ke liye



Raat aankhon mein utarne ke liye
Chaand aaye tere baahon mein sawarne ke liye
Ruka ruka sa khada hain waqt har mod yahan
Yeh bhi tehra hain tere saath gujarne ke liye

Koi toh samet_ta hoga har subah inn taaron ko
Phir nayi raat aakash mein bharne ke liye

Gulaabi ishq se khil jaata hain dil ka mausam
Aur kya chahiye bande ko nikharne ke liye

Main hu parwaana rahe ishq ka nasha hurdum
Main toh jeeta hu kisi shamma pe marne ke liye

Teri yaad rahi saath oas ke chaadar ki tarah
Mere raahon ko shabnam se bharne ke liye

Ishq hu, bas ek jagah jee sakta hu “Deepak”
Main toh aaya hu tere dil mein tehrne ke liye

Hasrat si dil mein hai, ki koi dilruba mile




Hasrat si dil mein hai, ki koi dilruba mile
Na jaane kis gali se chale aur kahan mile
Khawabo ke aaine mein koi chehra naya sajaa
Mumkin hain raasta yahi, manzil se jaa mile

Usko talaashte hi rahe, har sans har kadam
woh bhi mile kahin toh mujhe dhundhtaa mile

hur din wahi udaasi, wahi mayuusiyan rahi
ai raat kuch to kar ki ab din nayaa mile

dhundhne mein uska pata, gum gaya hu main
bhatkaa hi de kadam, ki koi raastaa mile

ishq pe  yeh mehr hain, talaashne se yahaan
woh bhi mile hain jinka na koi pataa mile

“Deepak” ujaale din mein andhe bhatakte hain
Thoda sa kalaa dard bhadha, aashiyaan mile

Sadme se yun ubharne laga dil kamaal hai



Sadme se yun ubharne laga dil kamaal hai
Kya jaane zindagi ki ab  yeh kaisi chaal hai

Jagne lagi hain dil mein umangey jawan jawan
Lagta hain ishq ne beechayaa  phir se  jaal hai

Karti nahi hain tang pareshaaniyaan mujhe
Mere paas aaj maa ki duaon ka dhaal hai

Kuch ho bhi jaata waqt pe jo keh diya hota
Unki nazar mein bhi yahi shayad malaal hai

Na soyenge woh raat saari fikr mein mere
 Koi unse  jaake keh do mere theek haal hai

Soch ki safaayee se kirdaar bantaa hai
Har dil mein saath vikram ke rehta betaal hai

Waada nahi tha phir bhi chale aaye hain milne ko
Na jaane hasrato ka yeh kaisa maya jaal hai

Logo ki zimmedaari rahi humesha hi “Deepak”
Aandhi mein bhi jalaa kiya aksar mashaal hai

Tuesday, December 4, 2012

Bahut haseen safar hain, ishq ki galiyaan

Bahut haseen safar hain, ishq ki galiyaan
Sanam ki rehgujar hain, ishq ki galiyaan

Sheher sheher, hum toh talaashtey hi rahe
Na jaane koun  nagar hain, ishq ki galiyaan

Nigaahein hadh mein wo hi, samayee rehti
Nayi nayi si nazar hain, ishq ki galiyaan

Bahut sambhal ke lagaana, kaanch ke dil ko
Kadam kadam  pathar hain, ishq ki galiyaan

Dabe dabe se labo se wo  haal e dil bole
Ajeeb si ek kehar hain, ishq ki galiyaan

Yeh talab mout tak le hi jaaye “Deepak”
Koi dheemi si jeher hain, ishq ki galiyaan