Wednesday, January 2, 2013

Wo jo manzilon se aage gaye, wo lout kar kya aayenge


Wo jo manzilon se aage gaye, wo lout kar kya aayenge
Naseeb likhi judaayee thi, tanhayeeon ko samjhayenge

Wo nahi tha akhiri jis pe aakar ke khtam umeedein ho
Abke bahaar phir dil sajaakar, mausamo ko bulaayenge

Yaadein gayi, baatein gayi, ik dil bachaa bekaar sa
Badi lambi gham ki raat hai, dheeme dheeme jalaayenge

Koi aur hoga jo raat din jeeye gham sajaa kar ishq ka
Hum jaake husn ki galiyon mein, phir dil ki baazi lagaayenge

Hasrato ka kya hai, phir mar mitey kisi aur pe
Hur cheez dil se lagaaye toh,  bemaut maare jaayenge

Jhakhm pe taakein lagaaye, maiqado ki mastiyaan
Jub ghao bhar jaayega hum khud hi uthkar aayenge

“Deepak” bahut deewaangi mein dum ghutaya bewajah
Dil_lagi ko ab kabhi hum dil ki lagi na banayenge