Sunday, July 27, 2014

zindagi aaj Mout ki daawat udaa rahi hai

Kashti meri toofan se seena lada rahi hai
zindagi aaj Mout ki daawat udaa rahi hai

nikla hai parinda chonch se baajh maarne
“houslaa” aaj “daar” ke paseene chuda rahi hai

paseena baha ke apni kismet banata hu main
halaat tu apne fande se kisko dara rahi hai

andhere mein rehnewaale hi jaane roshni ki keemat
wo maa tan bechkar apne bachhe padha rahi hai

mushqilo se har baar hum yahi sochkar bhide
pathar ko zindagi shayad nageena bana rahi hai

jaane kub jagega bhagwaan aasmaa mein
lalach gharo mein aaj bhi beti jalaa rahi hai

Aa raha saheed hokar maati ka laal upar
jannat ko aaj jamkar pariyaa sajaa rahi hai

vishwas ki ganidth kabhi palle nahi chadhi
hawaien jahan hai tej wahi “deepak” jala rahi hai

ganidth = mathematics


Thursday, July 3, 2014

ghar magar kaanch ka banaate hai

Dard mein bhi muskuraate hai
 hawaon mein diya jalaate hai

iske aagey nahi kadamo ke nishaan
manzil tak jaane koun jaate hai

In parindo ko udaan dekar dekho
kitne hai jo lout paatey hai

dil mein pathar hai saare logo ke
ghar magar kaanch ka banaate hai

yun hi nahi marta yaqeen logo ka
log insaaniyat ko bech khaate hai

koun maanega meri baahon mein
jawaan khawabo  ko wo lutaate hai

bas yahi reh gaya baaki “deepak”

khotey sikko ko ajmaatey hai

Ai junoon e ashiqui, deewana hi bana de

Ai junoon e ashiqui, deewana hi bana de
Gumnaami ka tu mere fasaana hi baana de

Kab tak tere fareb mein zinda rahenge hum
Ab mout  ka tu koi bahaana hi baana de

Mujhpar nazar pade, kisi keemat magar pade
mujhko tu uske patharo ka nishaana hi bana de

tere naam ki khushi nahi toh gham tera sahi
tu dil ko mere dard ka thikaana hi bana de

meri zindagi toh teri inaayat se hi sajegi
manzil nahi banaaya, toh mehkhana hi bana de

shamma ki tarah rounak e mehfil bani “deepak”
mumkin hai wo har saksh ko parwana hi bana de

Friday, June 27, 2014



Yaadon mein tumhari aakhiri mulaqat main rakh lu
Tu chaahe tod de mera dil, teri har baat main rakh lu

Bahut sookha hai seene mein, nigaahein bheegti kum hai
Sabr ka baandh tu rakh le, ijhaar e -barsaat main rakh lu

Chamak teri nigaahon ki kisi din chaandni kar de
Ujaaley raah mein bhar le, andheri raat main rakh lu

Palat ke phir nahi kehna, tuney sauda gawayaa hai
Meri har jeet tu lele, teri har maat main rakh lu

Kategi umra ab har raat tera gham sajaakar ke
Bas itna chahta hu yaadon ki baarat main rakh lu
Do din ke tey khawab, ujaaley
Sadiyon ka andhera sach niklaa
Tej hawaa ke hadh tak hi tha
Tinke ka basera, sach nikla

Zeher-e-Zudayee lekar na jeena
Ek din tujhko hi das lega
Kaali naagin ko saath liye
Rehta tha sapera, sach nikla

Sab kuch apna yun de baithey
Jaise uska hi tha sab kuch
Besudh kar dega wo aakar
Sapno ka lootera, sach nikla

Kehtey tey sab log puraane
Na Deewana ban paagal premi
Phasi ban jaayega ek din
Baahon ka ghera, sach nikla

“Deepak” yeh udaasi char dino ki
Tukde tukde samet ke badh jaa
Naye manzil ke geet liye
Aayega savera, sach nikla

Koi raasta bataa khuda,

Koi raasta bataa khuda, 
Ya rehmat ka yeh dhoka hataa
Yeh dua meri kubuul kar
Ya duaon ka dhoka hataa

Tu mila ke ajnabi raashtey
Phir rasston ko alag karey
Yeh teri saajisho ka khel hai
Tu taqdeer ka dhoka hataa

Yeh ujaale andhere sab tere hai
yeh duniya teri banayee hai
Meri zindagi kar ataa mujhe
Ya banane ka dhoka hataa

ab dikha hi de tere pyar ko
ki tere bando ki tujhe fiqr hai
yeh duriya ab khatam kar 
Ya pyar ka dhoka hataa

Saturday, January 4, 2014

Andhero mein ujaale ka deepak utar gaya

Andhero mein ujaale ka deepak utar gaya
Din bhi aaj duniya mein aane se darr gaya

Lutne lagi jub betiyaan gharo ke aas paas
Bhagwaan bhi yeh halaat dekhkar  sihar gaya

Mandir mein pathron pe ladoo chadhe bahut
Bahar koi faqeer  magar bhuke se mar gaya

Rone lagi insaaniyat phir khud ko paake aaj
Tokre mein anaath ke koi anaaj bhar gaya

Vridho ka ashram ek din mein jub bhara
Kal hoga kya se sochkar makaan darr gaya

Biwi saheed ki jub lagi bheek maangne
Sar Maa bharti ka zammeen gad gaya

Jub betiyon ne pitao_n ke juutey pehen liye
Logo ke sir se bĂȘto_n  ka bukhaar utar gaya

Duniya mein kuch bura nahi “deepak” meri  tarah
Khudko sudhaarta  hi gaya, main jis dagar gaya