Friday, June 27, 2014



Yaadon mein tumhari aakhiri mulaqat main rakh lu
Tu chaahe tod de mera dil, teri har baat main rakh lu

Bahut sookha hai seene mein, nigaahein bheegti kum hai
Sabr ka baandh tu rakh le, ijhaar e -barsaat main rakh lu

Chamak teri nigaahon ki kisi din chaandni kar de
Ujaaley raah mein bhar le, andheri raat main rakh lu

Palat ke phir nahi kehna, tuney sauda gawayaa hai
Meri har jeet tu lele, teri har maat main rakh lu

Kategi umra ab har raat tera gham sajaakar ke
Bas itna chahta hu yaadon ki baarat main rakh lu
Do din ke tey khawab, ujaaley
Sadiyon ka andhera sach niklaa
Tej hawaa ke hadh tak hi tha
Tinke ka basera, sach nikla

Zeher-e-Zudayee lekar na jeena
Ek din tujhko hi das lega
Kaali naagin ko saath liye
Rehta tha sapera, sach nikla

Sab kuch apna yun de baithey
Jaise uska hi tha sab kuch
Besudh kar dega wo aakar
Sapno ka lootera, sach nikla

Kehtey tey sab log puraane
Na Deewana ban paagal premi
Phasi ban jaayega ek din
Baahon ka ghera, sach nikla

“Deepak” yeh udaasi char dino ki
Tukde tukde samet ke badh jaa
Naye manzil ke geet liye
Aayega savera, sach nikla

Koi raasta bataa khuda,

Koi raasta bataa khuda, 
Ya rehmat ka yeh dhoka hataa
Yeh dua meri kubuul kar
Ya duaon ka dhoka hataa

Tu mila ke ajnabi raashtey
Phir rasston ko alag karey
Yeh teri saajisho ka khel hai
Tu taqdeer ka dhoka hataa

Yeh ujaale andhere sab tere hai
yeh duniya teri banayee hai
Meri zindagi kar ataa mujhe
Ya banane ka dhoka hataa

ab dikha hi de tere pyar ko
ki tere bando ki tujhe fiqr hai
yeh duriya ab khatam kar 
Ya pyar ka dhoka hataa