Sunday, July 27, 2014

zindagi aaj Mout ki daawat udaa rahi hai

Kashti meri toofan se seena lada rahi hai
zindagi aaj Mout ki daawat udaa rahi hai

nikla hai parinda chonch se baajh maarne
“houslaa” aaj “daar” ke paseene chuda rahi hai

paseena baha ke apni kismet banata hu main
halaat tu apne fande se kisko dara rahi hai

andhere mein rehnewaale hi jaane roshni ki keemat
wo maa tan bechkar apne bachhe padha rahi hai

mushqilo se har baar hum yahi sochkar bhide
pathar ko zindagi shayad nageena bana rahi hai

jaane kub jagega bhagwaan aasmaa mein
lalach gharo mein aaj bhi beti jalaa rahi hai

Aa raha saheed hokar maati ka laal upar
jannat ko aaj jamkar pariyaa sajaa rahi hai

vishwas ki ganidth kabhi palle nahi chadhi
hawaien jahan hai tej wahi “deepak” jala rahi hai

ganidth = mathematics


Thursday, July 3, 2014

ghar magar kaanch ka banaate hai

Dard mein bhi muskuraate hai
 hawaon mein diya jalaate hai

iske aagey nahi kadamo ke nishaan
manzil tak jaane koun jaate hai

In parindo ko udaan dekar dekho
kitne hai jo lout paatey hai

dil mein pathar hai saare logo ke
ghar magar kaanch ka banaate hai

yun hi nahi marta yaqeen logo ka
log insaaniyat ko bech khaate hai

koun maanega meri baahon mein
jawaan khawabo  ko wo lutaate hai

bas yahi reh gaya baaki “deepak”

khotey sikko ko ajmaatey hai

Ai junoon e ashiqui, deewana hi bana de

Ai junoon e ashiqui, deewana hi bana de
Gumnaami ka tu mere fasaana hi baana de

Kab tak tere fareb mein zinda rahenge hum
Ab mout  ka tu koi bahaana hi baana de

Mujhpar nazar pade, kisi keemat magar pade
mujhko tu uske patharo ka nishaana hi bana de

tere naam ki khushi nahi toh gham tera sahi
tu dil ko mere dard ka thikaana hi bana de

meri zindagi toh teri inaayat se hi sajegi
manzil nahi banaaya, toh mehkhana hi bana de

shamma ki tarah rounak e mehfil bani “deepak”
mumkin hai wo har saksh ko parwana hi bana de