Kisi ki baaton
mein na aana
Jo dil
karega woh gungunana
Hastey chehre
ke silwaton mein
Jo gham
chupe hai nahi dikhana
Yeh rishtey
hai teeliyon se nazuk
Jo zor doge
toh toot jaaye
Sambhaale
rakhna tijoriyon mein
Inhe kabhi
bhi na azmaana
Zamaane bhar
ke sitam sahe hai
Na uff kiya
na sikayatein ki
Abhi bhi
yaad hai maa se aksar
Jara si baaton
pe rooth jaana
Dori dori
bandhkar gaanth
Yeh saara
jeevan gujar dekha
Wahi se
judtey hai pakke rishtey
Jahan se
mumkin ho toot jaana
Bulandiyon
ki kwahisho mein
Sadak ki
thokar bhi ajmaya
Azaad hai
haar se, jeet se ab
Bahut sahi
tha maat khanaa
Safar naya
tha yeh jaan kar bhi
Kadam pe
bandish nahi lagaya
Bhatak ke
paaya hai maine khud ko
Sambhal ke
manzil tak hi tha jaana
“Deepak”
yehi khawish hai, ki ek din
Wo kar
sakey jo wo chahta hai
Andheri
raaton mein jugnu banker
Bhatktey kadmo
ko raah laana