Taqdeer bananewale ko, roz muuh dikhata hai
Phadkar gagan, apna sooraj khud ugaata hai
Jhukta hai dar pe, jakar khuda ke har din par
Roz apni mehnat ki, hi rotiyaan pakata hai
Khawabo ke samandar mein moti usko milti hai
Int int jodkar jo, hawa mahal banata hai
Jitni mushqile badti, hosla bhi badhta hai
Yun hi nahi baajo se koi chidiyon ko ladaata hai
Hoga koi paagal hi, sab ke haq mein ladta hai
Warna paraye aago mein, koun ungaliyaan jalaata hai
Raat ko subah take le jaane ka jimma “Deepak”
Roshni ke kissey wo, andhero ko sunata hai