Kuch toh lafzo ki hai kami shayad, Iss liye palko pe
hai nami shayad
Waqt ke aanch se bhi nahi pighli, Yaadein sadiyon se
hai zami shayad
Chod jaatey hai jis tarah maazhi, beparwah beech lehro
mein,
Yun bhi lagta hai kashtiyon ka, doob jaana hai laajmi
shayad
Gujre lamhe hai, loutkar aana, kahan hota hai inki
fitrat mein
Ladti rehti hai naseebo se hardum, koi umeed hai thami
shayad
Raat ki raani ussey bulati hai, chedkar apne deh ki
khusboo
Tod leti hai har subah khud ko, uske na hone ki hai
kami shayad
--> -->