Sunday, July 21, 2019

Kaun nahi jeeta duniya mein Apne hissey ka paap liye



Ghumta hai har saksh yahan
Karmo ka abhishaap liye
Kaun nahi jeeta duniya mein
Apne hissey ka paap liye

Insaan hu apne gunaaho ka
Main Prayischit kar lunga
Tu bhi bataa de waqt kahan
Jayega Apne paap liye

Das ke rahega dekhna aakhir
Ek din tumko bhi yeh bharosa
Log yahan miltey hai gale
aastino mein saanp liye

Haath se tere nikal gayi hai
Teri banaayi hui yeh duniya
Pathar sa baitha hai bhagwan
Ahilya ka jaise shraap liye

Daulat sohrat tamasha kar le
Antim sach toh do gaj hi hai
Maati tere janm sa baithi
kabr ka tere naap liye

taan ke chillum, rang ke maatha
Dikhta tyaag ka murat koi,
jogi jag se duur hua na
saikdo mantar jaap liye

Har yug mein ek raavan hi
Raam ka vajud banata hai
Sach duniya mein aata hai, Deepak
Jhoot ka jaise shraap liye