Wednesday, January 2, 2008

mousam naya gunguna raha tha

Mousam naya gunguna raha tha
main apna dil phir saja raha tha
dekha jo khudko main aaeene mein
tera hi chehra dikha raha tha

wafa ki khushiyon ko paake socha
yeh lamha ub tak kahan raha tha

kabhi jo dekha sitara tuta
tere kiye hi dua raha tha

badal gaya woh bhi waqt ke sung
jo apne mujhko bata raha tha

woh utna hi mujhko yaad aata
main jitna usko bhula raha tha

tuta jo dil toh jaana maine
woh juthe sapne dikha raha tha

woh ub mujhe pehchanta nahi hai
main jiske dil mein khuda raha tha

"Deepak" ki hai roshini tumne socha
main khud ko ub tak jala raha tha

No comments: