Sunday, May 18, 2008

Ek baar tumko ko yun hi bhula kar dekhenge

Ek baar tumko ko yun hi bhula kar dekhenge
Mushqil hoga jeena, par azma kar dekhenge
Zuda hokar mar jayenge yeh durr hai phir bhi
Ek baar khudko tujhse zuda kar dekhenge

Tere bin padega bhatakna toh yehi sahi
Hum tumse alag apna rasta kar dekhenge

Usko khuda banaya toh kuch haasil nahi hua
Kya bigadta hai, ub usse buut bana kar dekhenge

Tere bahon mein ek raat ko sadiyon taras gaye
Ub jo mili hai yeh raat, toh usse gawa kar dekhenge

Iss uth tey hue toofan mein kuch bhi na bache shayad
Phir bhi Kachhee meeti ka hum ghar banakar dekhenge

Hur baar tere dar pe sir jhukar ibadat ki hai
Ub tumse bagawat mein sir utha kar dekhenege

Gum ki yeh andhi hai, chiragon ko nahi jalne degi
Hum phir bhi ek umeed ka Deepak jala kar dekhenge

Chalna tha chal pade thea, magar ub kidhar chale

Chalna tha chal pade thea, magar ub kidhar chale
Manzil ke baad bhi hume manzil nahi mile
Uss Kashti ko bhanwar mein dubana zyada sahi lage
Toofan ko jeet kar jise saahil nahi mile

Aage na badh saka, koi bhi rasta kahin
Sadiyon baad jub wo louta, hum wohi mile

Who apni bebasi ka alaam kisi se kya kahe
Sajaye jo sub ki mehfil, usse jub mehfil nahi mile

Hazaar chandani raaton ka naseeb bhi fareb hai
Mehboob ke Kaandhe pe beecha jo ek pal nahi mile

Humse raha hai beraham waqt is kadar
Aaj jinhe gawa diya woh kal nahi mile

Insaan apne karmo ka hi enaam pata hai
Jo beej humne boye thea, hume fal wohi mile

Mousam bhi aa gaya naya, naye rang aa gaye
Lekin jo aaj kho gaye, woh kal nahi mile