Chalna tha chal pade thea, magar ub kidhar chale
Manzil ke baad bhi hume manzil nahi mile
Uss Kashti ko bhanwar mein dubana zyada sahi lage
Toofan ko jeet kar jise saahil nahi mile
Aage na badh saka, koi bhi rasta kahin
Sadiyon baad jub wo louta, hum wohi mile
Who apni bebasi ka alaam kisi se kya kahe
Sajaye jo sub ki mehfil, usse jub mehfil nahi mile
Hazaar chandani raaton ka naseeb bhi fareb hai
Mehboob ke Kaandhe pe beecha jo ek pal nahi mile
Humse raha hai beraham waqt is kadar
Aaj jinhe gawa diya woh kal nahi mile
Insaan apne karmo ka hi enaam pata hai
Jo beej humne boye thea, hume fal wohi mile
Mousam bhi aa gaya naya, naye rang aa gaye
Lekin jo aaj kho gaye, woh kal nahi mile
Sunday, May 18, 2008
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment