Hoton par rakhta hu hur baat dabakar
Kya jane kis baat ko wo dil se laga le
Hur raat yehi sochkar rehta hu main jaga
Kya jane kis waqt khawabo mein bula le
Jis tarah tu jeeta hain, khud mein simatkar
Mujhe durr hain kahi khud ko tanha na bana le
Ik raat mili tum sung toh dil bekhud sa ho gaya
kehta hai iss raat ke baad phir ek raat saja le
mil jaye tujhe manzil, mujhe chod dena beshak
raaste ke liye hi sahi mujhe humraah bana le
tere nazdeek ek pal ke liye, manzoor hain kuch bhi
mujhko tu apne raah ka pathar hi bana le
kabhi labjo mein nahi bolunga ub dil ka fasana
tu mere aankhon ko padhne ki ub aadat si bana le
waise bhi tumhe fiqr kahan thi kabhi meri
ub meri baat na samjhne ka bahana hi bana le
yun bhi na reh tu banke ek namumkin si hasrat
aisa na hone ki paane ki tujhe koi zidd hi bana le
lagta hain aaj aandhi mein, andhera bhi mil gaya
ladna hain tujhe dono se toh Deepak hi jala le
Wednesday, December 3, 2008
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment