Thursday, June 14, 2012

Aankhen kya huee bandh, koi sooraj nigal gaya

Aankhen kya huee bandh, koi sooraj nigal gaya
Din bhi raat odhkar andhere mein dhal gaya

Kagaz ki naaw dekh kar, baarish ke paani mein
Bachpan ke  jaise kuch mere  dil mein uchal gaya

Andhere mein jo  diya kabhi  roshan hua kahin
Bacche kitaab padhne lage sab kuch badal gaya

Qismet ki bewafaai ke shikaar hum bhi hain
Kashti ko chod aaye toh toofan tal gaya

Insaan hum pehle nahi, hain hindu, musalman
Rago mein magar khoon kyu ek rang chal gaya

Jo na kehna chahtey tey, wo bhi keh gaye
Chubhkar rahega teer jo kamaan se nikal gaya


Saturday, June 9, 2012

Gul_lakk mein kitne sikkey pade bekaar miley


Gul_lakk mein kitne sikkey pade bekaar miley
Besahaaro ko kahan kabhi madadgaar miley

Baarish wahi huee jahan talaab tey bahut
Sukhe shehar ko baadalo ke sirf kataar miley

Na zidd, na naraajgi, bhuke pet hans ke sotey hain
Bacchey gareebo ke kitne samajhdaar miley

Ungli diya toh haathon se bhi jana pada yahan
Sastey kahan kisi ko kabhi udhaar miley

Bade sehron ke uche minnar, hayat-e-masti hain       
Ajeeb si baat magar, log saare karazdaar miley

Hum toh pehchaan nahi paaye hur roaz ki iss zaldi mein
Zindagi  tumse to hum pehle bhi kayi baar miley

Monday, June 4, 2012

Paon mein bandishen ho beshak hazaaron se


Paon mein bandishen ho beshak hazaaron se
Wo dariyaa kya jo chalak ke na  nikle kinaro se

Jaakar ke dekho uth ta hain toofan kis tarah
Mousam ka maza paa na sakoge akhbaaro se

Samsheer la, lahu baha, zameen ko azad kar
Taqdeer kab badli kisi ki sirf naaro se

Woh farishta tha jo uth gaya mar ke  ek din
Jaakar ke koun louta hain warna mazaaro se

Apna majhab, apna kasba, apne logo se ho milna
Aao dil azaad karaye, dharm ke thekedaaro se

Mouka dekh ke badle hain jo rang, rishtey aur raastey
“Deepak” duur  raha hain hurdum aise ayyaro se