Aankhen kya huee bandh, koi sooraj nigal gaya
Din bhi raat odhkar andhere mein dhal gaya
Kagaz ki naaw dekh kar, baarish ke paani mein
Bachpan ke jaise kuch
mere dil mein uchal gaya
Andhere mein jo diya
kabhi roshan hua kahin
Bacche kitaab padhne lage sab kuch badal gaya
Qismet ki bewafaai ke shikaar hum bhi hain
Kashti ko chod aaye toh toofan tal gaya
Insaan hum pehle nahi, hain hindu, musalman
Rago mein magar khoon kyu ek rang chal gaya
Jo na kehna chahtey tey, wo bhi keh gaye
Chubhkar rahega teer jo kamaan se nikal gaya
No comments:
Post a Comment