Friday, August 10, 2012

Mere khwabo ke choukhat par, deewana doudta aaye


Na jaane koun se kissey sunaakar raat fuslaaye
Mere khwabo ke choukhat par, deewana doudta aaye

Nigaahon ko beechakar raastey mein raat din baithey
Wo dariyaa hain mohabatt ka, usey meri pyaas dikh jaaye

Koi  hadh hi nahi hain, ishq waalo ke iraado ka
Yehi bas josh e koshish hain, mohabatt faailati jaaye

Bus ab yeh zidd si  hain, ussey zuda hokar nahi jeena
Bane wo humsfar mera, ya safar hi haath se jaaye

Bahut khusboo bhikherey hain, naye mausam ne aatey hi
Kahin yeh jaate jaate hoton ki muskaan na le jaaye

Udaasi ke minaaro ko chalo hanskar giraa de aaj
Subah kal ki, umeedo ke naye gulshan khilaa jaaye

Geeli umeed haathon par sajaakar chahti hogi
Heena jub sukhkar nikle toh rekhayen badal jaaye

“Deepak” na reh banker ke tu na mumkin si hasrat
Kahin yun na ho dil se tera armaan nikal jaaye

Sunday, August 5, 2012

Mohabatt ka kisi par toh kehar phir bhi gira hota


Nahi hota agar main toh wahan koi doosra hota
Mohabatt ka kisi par toh kehar phir bhi gira hota
kisi ke aashiyane ko tabaah hona tha bijli se
kisi ka ghar nahi milta, toh mere ghar gira hota

main usko rok leta ishq ka, koi waasta dekar
ek katraa bhi nigahon se jo ansoo ka gira hota

sambhal pata kabhi main farz ki adaayeegi se gar
Toh Kisi najneen ke ishq mein jaakar gira hota

jo mere haathon mein ek toot-ta tara likha hota
toh sunepan mein mere chaand ka tukda gira hota

Wo saare pal main chuun leta, jo uske sang na ji paaya
gujartey waqt ke haathon se gar lamha gira hota

Bahut se haadso ka waqt pe ho jaana behtar hain
Main girne se nahi darta, jo bachpan mein gira hota

Parde ke sarkane se utha unmaad toh jaana
Deewane katl ho jaatey, jo yeh chilman gira hota

Humne toh chalaaye thye, sab teer nishaane pe


Humne toh chalaaye thye, sab teer nishaane pe
Kuch chook gaye phir bhi, manzil tak jaane mein
Qismet mein musaaphir ke, nahi kal ki subah shayad
Dekh kaanp rahi kashti, saahil tak jaane mein

Shaayar ke nasihat mein, hain baat badi gehri
Bhagwaan toh hain rastey, mandir tak jaane mein

Iss qaid se azaadi, badi der se aayi hain
Mere paon padenge kum, subah tak jaane mein

Hum jaan ke bhi sab kuch, kuch maan nahi paatey
Bas soch ki duuri hain, maksad tak jaane mein

Na jaane ki ub shehron, mein kaise tajurbey hain
Koi khoof nahi khata, jungle tak jaane mein

Magroor  badal deta, hain wazood  hi jhatke se
Bade khwaab sajata hain dariyaa, saagar tak jaane mein

Aagosh mein hi aandhi ke, Deepak ko jalayenge
Hume rok nahi sakta koi apni, hasti tak jaane mein

Jo tha hi nahi mera, usko khona kya hain


Yaadon ko dariyaa mein dubona kya hain
Jo tha hi nahi mera, usko khona kya hain

Hotey hotey hi hua hain meri barbaadi ka asar
Dil jub toot gaya aakhir, toh rona kya hain

Wo khush hain nayee raah ka safar paakar
Yaad kar usko teer chubhona kya hain

Aaghe hain aur bhi haseen manzar  e safar
Gham ko karo khtam, gham ko sanjona kya hain

Phir uthi aaj tere daaman se liptane ki kasak
Phir se mayuush hi hona hain, aur hona kya hain

Jiske ujaale mein ho karz ka kaala daanav
Ussey puche koi, chaain se sona kya hain