Na jaane koun se kissey sunaakar raat fuslaaye
Mere khwabo ke choukhat par, deewana doudta aaye
Nigaahon ko beechakar raastey mein raat din baithey
Wo dariyaa hain mohabatt ka, usey meri pyaas dikh jaaye
Koi hadh hi nahi
hain, ishq waalo ke iraado ka
Yehi bas josh e koshish hain, mohabatt faailati jaaye
Bus ab yeh zidd si hain, ussey zuda hokar nahi jeena
Bane wo humsfar mera, ya safar hi haath se jaaye
Bahut khusboo bhikherey hain, naye mausam ne aatey hi
Kahin yeh jaate jaate hoton ki muskaan na le jaaye
Udaasi ke minaaro ko chalo hanskar giraa de aaj
Subah kal ki, umeedo ke naye gulshan khilaa jaaye
Geeli umeed haathon par sajaakar chahti hogi
Heena jub sukhkar nikle toh rekhayen badal jaaye
“Deepak” na reh banker ke tu na mumkin si hasrat
Kahin yun na ho dil se tera armaan nikal jaaye
No comments:
Post a Comment