Friday, November 30, 2012

Jaane kitne mausam gujar gaye



Jaane kitne mausam gujar gaye
Saare pat_tey ped se utar gaye
Kabhi lout na paaye gaon ko
Jo kadam badha kar shehar gaye

Aakash taaktey  hain kamro se
Kahaan jaane panchee ke par gaye

Amaavasi raaton ke raahi kyu
Parchaayeeon se dar gaye

Koi raat din karta hain yaad
Woh dil churakar kidhar gaye

Puche bacche gaon ke dhoop mein
Kahaan chaayadaar sajar gaye

Kuch rokta hoga shehar mein
jo chaahkar bhi na ghar gaye

Deepak, mila koi bhi safar
Ghar bulata raha jidhar gaye

1 comment:

Shrikant-Singh said...

Purey ka saar hai chupa inmein:
-------------------------------
Aakash taaktey hain kamro se
Kahaan jaane panchee ke par gaye

Jhad na jaaye kahin,
Udd na paye kahin,
Panchi diwana tha kabhi
Pura diwana na ho jaaye kahin

...2 Good