Monday, September 16, 2013

Khwab adhure, baat adhuri, neend hai koso door kahi



Khwab adhure, baat  adhuri, neend hai koso door kahi
Geeli aankhen, paon mein baedi, wo bhi hai majboor kahi

Zakhm ko lekar jeetey rahe, na roye na cheekhe hum
Kismet ka likha humko bhi, shayad  tha manzoor kahi

Wo aa jaye, saawan aaye, mausam ki rangat ban jaaye
Uska hone ko vyaakul hai, maathe ka sindoor kahi

Pathraee aankhon se hasti, yun wo bole khamoshi se
Dil mein chubha  hua ho jaise, yaadon ka nasoor kahi

Palko mein wo shaam chupaye, raat churaa le jaati hai
Chaand ko zulf mein baandhe baithi, Hogi wo magroor kahi

Aaja apni baat suna le, mehfil, mouke sab tere hai
“Deepak” is lamhe ko thaame, waqt bhi baitha door kahi


No comments: