Paon mein bandishen ho beshak hazaaron se
Wo dariyaa kya jo chalak ke na nikle kinaro se
Jaakar ke dekho uth ta hain toofan kis tarah
Mousam ka maza paa na sakoge akhbaaro se
Samsheer la, lahu baha, zameen ko azad kar
Taqdeer kab badli kisi ki sirf naaro se
Woh farishta tha jo uth gaya mar ke ek din
Jaakar ke koun louta hain warna mazaaro se
Apna majhab, apna kasba, apne logo se ho milna
Aao dil azaad karaye, dharm ke thekedaaro se
Mouka dekh ke badle hain jo rang, rishtey aur raastey
“Deepak” duur raha
hain hurdum aise ayyaro se
3 comments:
Now thats what is a class. I am forced to acknowledge. Pehli baar main comment/complment likh raha hun. Great keep it going
thanks man, yeah even i am happy with what i wrote
Post a Comment