Sunday, July 29, 2012

Humne toh chalaaye thye, sab teer nishaane pe


Humne toh chalaaye thye, sab teer nishaane pe
Kuch chook gaye phir bhi, manzil tak jaane mein
Qismet mein musaaphir ke, nahi kal ki subah shayad
Dekh kaanp rahi kashti, saahil tak jaane mein

Shaayar ke nasihat mein, hain baat badi gehri
Bhagwaan toh hain rastey, mandir tak jaane mein

Iss qaid se azaadi, badi der se aayi hain
Mere paon padenge kum, subah tak jaane mein

Hum jaan ke bhi sab kuch, kuch maan nahi paatey
Bas soch ki duuri hain, maksad tak jaane mein

Na jaane ki ub shehron, mein kaise tajurbey hain
Koi khoof nahi khata, jungle tak jaane mein

Magroor  badal deta, hain wazood  hi jhatke se
Bade khwaab sajata hain dariyaa, saagar tak jaane mein

Aagosh mein hi aandhi ke, Deepak ko jalayenge
Koi rok nahi sakta humko apni, hasti tak jaane mein

No comments: