Saturday, July 21, 2012

Zakhmo pe khawab marham, lagaane ko machal raha



umeedo ko lekar aaj phir din hain dhal raha
Zakhmo pe khawab marham, lagaane ko machal raha

chaand badalo mein chupane lagi hai raat
Armaan koi mehboob ke khande pe pal raha

hans deta hain mujhko dekh kar raho mein aaj kal
lagta hai akhir kaar wo pathar pighal raha

na jaane abki baar kya mansubey hain paani ke
kehte hain log sham se dariyaa uchal raha

majhdhaar mein mila toh daraaya bahut magar
saahil pe aate aate samandar badal raha

Wo bhi yeh jaanta hain, ki main jaanta hu sab
bachtey bachaatey mujhse, Galiyon mein chal raha

chehre pe uske jhuuti hasi ka naqaab hain
na jane hans ke koun sa woh gham nigal raha

teri chamak ke badle usey chaand mil gaya
“Deepak” tu intezaar mein bekaar jal raha

No comments: