Saturday, July 21, 2012

Koun manega meri aankhon mein jalta hain paani


Tej kadmo se doudhta rehta hain, chalta hain paani
Koun manega meri aankhon mein jalta hain paani

Yeh kiske jikr se aaya hain sehraa main sailaab
Aaj meri aankhon mein nahi behelta hain paani

Koun sa dard hain, ki zara zara si baaton mein
Aankhon se subah shaam nikalta hain paani

Khara pan odhkar palko se utarta hain hurdum
Jaane koun se talaab mein palta hain paani

Sabr ka baandh liye, halaato se ladta hain magar
yaadon ke panno pe aksar pigalta hain paani

Palko pe aa jaaye toh shor nahi karne paaye
Dard  kitna bhi ho khamosh nigalta hain paani

Kuch toh hoga dhoka sa meri aankhon mein “Deepak”
Log kehtey hain ki bewajah hi nikalta hain paani

No comments: