Saturday, July 21, 2012

Yeh dili ehsaas hain mere, main fankaar nahi

Yeh dili ehsaas hain mere, main fankaar nahi
Aap beeti hi sunata hu, main kalaakaar nahi

Mera insaaf kar, mujhko suuli na chadhaa
Main nadaan sahi lekin gunehgaar nahi

Lootkar logo ko, odh lete hain sharifo ka naqaab
Yeh wo sikkey hain jinhe chalne ka adhikaar nahi

Wo apne sapno ki zidd mein rehta hain faaka
Ghar mein anaaj ke daano ka jimmedaar nahi

Paed ghabrane lagey dekh  khud khushi ka mizaaz
Sukhe kheto ko baarish ka aasaar nahi

Humko haasil jo hua hain, mehnat se hua hain
Apni hasti mein kismet ka kirdaar nahi

Kisi matlab ke liye, dilbar bhi saath deta hain
Teri duniya mein khuda koi wafadaar nahi

1 comment:

Shrikant-Singh said...

Wo apne sapno ki zidd mein rehta hain faaka
Ghar mein anaaj ke daano ka jimmedaar nahi ...

Kisi matlab ke liye, dilbar bhi saath deta hain
Teri duniya mein khuda koi wafadaar nahi

kuch naa keh ke.. bahut kuch keh dena
roshni de 'deepak', andhera na dena

kya baat(3)