Yeh
dili ehsaas hain mere, main fankaar nahi
Aap
beeti hi sunata hu, main kalaakaar nahi
Mera
insaaf kar, mujhko suuli na chadhaa
Main
nadaan sahi lekin gunehgaar nahi
Lootkar
logo ko, odh lete hain sharifo ka naqaab
Yeh
wo sikkey hain jinhe chalne ka adhikaar nahi
Wo
apne sapno ki zidd mein rehta hain faaka
Ghar
mein anaaj ke daano ka jimmedaar nahi
Paed
ghabrane lagey dekh khud khushi ka
mizaaz
Sukhe
kheto ko baarish ka aasaar nahi
Humko
haasil jo hua hain, mehnat se hua hain
Apni
hasti mein kismet ka kirdaar nahi
Kisi
matlab ke liye, dilbar bhi saath deta hain
Teri
duniya mein khuda koi wafadaar nahi
1 comment:
Wo apne sapno ki zidd mein rehta hain faaka
Ghar mein anaaj ke daano ka jimmedaar nahi ...
Kisi matlab ke liye, dilbar bhi saath deta hain
Teri duniya mein khuda koi wafadaar nahi
kuch naa keh ke.. bahut kuch keh dena
roshni de 'deepak', andhera na dena
kya baat(3)
Post a Comment