Jaane kitna dard hai dil mein, Jo ashkon ko mund raha hain
Chupke se rone ke liye, Ghar mein kona dhundh raha hai
Woh apni tanhayee se, awaje wafa ki dene laga hai
Apna dil behlane ko phir se khillonaa dhundh raha hai
Kaatein kaatein neend mein bikhre, lahu luhaan har raat rahi
Yun hi nahi wo deewaana, phoolon ka bichouna dhundh raha hai
Udd gaye uskey pran
pakheru, Haath pakadkar rota beta
Budhi daadi ke haathon ka shayad sona dhundh raha hai
Footpath ka baccha ‘deepak’, sach ki maar na seh paayega
Kaali, andhi gufaon mein, sapna salona dhundh raha hai
No comments:
Post a Comment