Sunday, August 11, 2013

Mili khaakh mein mohabatt, hasaa khoob hai zamana

Mili khaakh mein mohabatt, hasaa khoob hai zamana
Mere dil magar wafa ke, zakhmo ko na deekhana
Mere dil se khelkar shayad, tera dil nahi bhara ho
Kisi aur ke chaman mein, par aag na lagaanaa

Tere naam ka deewaana, hur baat chahtaa tha
Kahi tod dala mujhko, tera fayaada uthana

Aadhe safar mein raahi rastaa bhatak ke soche
Sahi aur aagey badhnaa, ya palat ke lout jaanaa

Mujhko sanam, khuda woh kya kya na bolta tha
Usney hi aaj rastey, mujhko nahi pehchaanaa

Hai yeh mohabatton ka kaisa asar na jaane
Dil doob doobkar bhi, chaahe paar paar jaana

Dhoke shehar mein aakar, mouke taalashtey hai
Maa ne kaha tha mujhse, bahut duur  tak na jaanaa

“Deepak”  yeh jaana humne lehro mein doobkar
Saahil ke raet par, kabhi sapne nahi banaanaa




No comments: