Saturday, August 21, 2010

Waqt utna hi azmaata hain

Waqt utna hi azmaata hain, jitna insaan sambhaal paata hain
Dhoop ke tewar na dikhayen keh do, shaam bhi unke hissey aata hain

Kach_che usulon se nahi bante hain, irade pakkey
Ghar yeh mitti ka, hur toofan mein beh jata hain

Uthke girta hain, phir uth_ta hain girne ke liyeh
Chote se bacche ko chalna toh yun hi aata hain

Kabhi josh mein na jaye koi chod ke apno ko
Hur subah ka bhoola ghar lout nahi paata hain

Gum ghol ke peetey hain hur jaam mein apne yeh
Befikron ki basti mein dard kisko satata hain

Khud kehta hain rishton ko na tolo kabhi matlab se
Chupke se magar haathon mein tarazu bhi thamaata hain

Seeshe ke dukano mein makhmal ke khillone hain
Dil Gareeb ke bacche ka usey dekh behal jaata hain

Roshan karo raahon ko, tum beshak hi sitaron se
Par Dehleej ke rounak ko, “Deepak” hi badhaata hain

kabhi kisi baat pe naraaz nahi hota hoga

kabhi kisi baat pe naraaz nahi hota hoga
woh bhi kya saksh hain kis baat pe rota hoga
Raat ke andhere, taaron se guftgu karke
Din ke ujale aankh khol ke sota hoga

Mere aankhon se hurbaar chura kar moti
na jaane koun se mala mein pirota hoga

humesha rakhta hain phoolon ki hasi hoto par
Gum na jaane wo kis dariya mein dubota hoga

Uske dushman bhi diya karte hain duuayen usko
bade tareeqey se wo rishton ko sanjota hoga

Rakhta hain zakhmo ko salaamat, tohfe ki tarah
yun bhi lagta hain ki, usey dard nahi hota hoga

Iss puri kaaynaat ko us_sey hain mohabatt “Deepak”
Wo dilon mein pyar ko chup chaap se bota hoga

Saturday, August 14, 2010

Kahan se niklega yaaro phir vande matram

Jub bhook ho har saans mein, nafrat aur gum
Kahan se niklega yaaro phir vande matram
Jahanpar jaat pe ladtey hain, har choti baat pe hum
Kahan se niklega yaaro phir vande matram

Martey jahan kisaan, aankhen hoti nahi hain num
Kahan se niklega yaaro phir vande matram

Chand sehron ki bulandi ko ”India shinning” jo bolenge
Pura bharat Kahan se bolega phir vande mataram

Jahan par praant, bhasha ki shiyashat hoti hain hur dum
Kahan se niklega yaaro phir vande matram

Kahan shikwa karey auro se, iss berukhi ka hum
Ki humse bhi nahi hota yaro ub vande mataram

Magar itna toh hain ki hum apni atma tatolenge
Apne Hissey ke farz ko pura karenge hum
Humey jub dusre ke gum mein, mehsus hoga gum
Tabhi hoga yaaro sach main phir vande matram

Kahan se niklega yaaro phir vande matram

Jub bhook ho har saans mein, nafrat aur gum
Kahan se niklega yaaro phir vande matram
Jahanpar jaat pe ladtey hain, har choti baat pe hum
Kahan se niklega yaaro phir vande matram

Martey jahan kisaan, aankhen hoti nahi hain num
Kahan se niklega yaaro phir vande matram

Chand sehron ki bulandi ko ”India shinning” jo bolenge
Pura bharat Kahan se bolega phir vande mataram

Jahan par praant, bhasha ki shiyashat hoti hain hur dum
Kahan se niklega yaaro phir vande matram

Kahan shikwa karey auro se, iss berukhi ka hum
Ki humse bhi nahi hota yaro ub vande mataram

Magar itna toh hain ki hum apni atma tatolenge
Apne Hissey ke farz ko pura karenge hum
Humey jub dusre ke gum mein, mehsus hoga gum
Tabhi hoga yaaro sach main phir vande matram

Jalatey hain naye shamme umeedo.N ke jalane do

Jalatey hain naye shamme umeedo.N ke jalane do
Khadi kar do koi deewar, hawao.N ko na aane do
Bahut mushqil se aaya hain, mere nazdeek mera ishq
Zara sa waqt ruk jao, is lamhe ko na jaane do

Unse ruksat pe sehme-sehme tey, kuch keh nahi paaye
Magar yaadon ke ashqon ko, mujhe dil se bahane do

Nahi anzaam ka hain darr, magar yeh arzoo bhi hain
Mujhe gur mout aani hain, unke bahon mein do

Bahut mumkin hain, meri baat sunkar na ruke lekinn
Mujhe taqdeer ka ek akhiri sikka chalane do

Koi toh dekhe lega ki, yeh unke naam ka gum hain
Laraj aaye hain jo ansoo, mujhe chehra chupane do

Dafan karte gaye ub tak ki jitney gum miley lekin
Yeh unke naam ka gum hain, isey jewar banane do

Mujhe manzoor hain yeh intezaar umra ka “Deepak”
Magar wo loutenge ek din, yeh wada kar ke jane do

Mutthi mein fas gaya hain, fisal kyu nahi jaata

Mutthi mein fas gaya hain, fisal kyu nahi jaata
Aankhon se hata dil se, nikal kyu nahi jaata
Kab tak yaqeen dilata rahunga wafa ka main
Wo mom dil hain gur toh pighal kyu nahi jaata

Kyu chahiyeh, isey chaand taare, baat sanam ke
Kya cheez hain dil, khud yeh behal kyu nahi jaata

Paakar ke mujhko mil gayi khushiyan tamaam gar
Aankhon se uske sheesh mehal kyu nahi jaata

sab kehte hain ki mujhme bhi farhaad ka fan hain
daaw uspe mere pyar ka chal kyu nahi jaata

jo yaad nahi rakhta mujhe jaagte sotey
wo meri duwaaon se nikal kyu nahi jaata

yeh sach hain agar uski inaayat hain mohabatt
tara meri kismat ka badal kyu nahi jaata

wo apne faislon mein, azad rehta hain toh
meri zindagi se uska dakhl kyu nahi jaata

duniya fareb hain, toh mera pyar bhi toh hain
wo meri hasraton mein dhal kyu nahi jaata

Meri zustzu meri arzoo, kabhi khawab banke mila karo

Meri zustzu meri arzoo, kabhi khawab banke mila karo
Main sawaal leke fira karu, tum jawab banke mila karo

Main bhool jata hu dard-e-gum apne tumhare ishq mein
Safar mein hain kaantey bahut, gulaab banke mila karo

Main gulaam hu tere ishq ka, tujhe dekhar hi jeeya karu
Yeh andhere mujhko nigal na le, mehtaab banke mila karo

Mere bus mein khud main nahi raha, kis pal na jane kya karu
Mere behisaab zazbaat se, tum hisaab banke mila karo

Gum mein dubi yeh sard raat, tanhayee le jaye na jaan
Mere kap-kapatey ruuh se, tum lihaaf banke mila karo

Mera ishq mera khuda sa hain, meri bandagee puri rahe
jise dekh ke ho jaon Fana, Aisa Rubab ban ke mila karo

Har roz tay kar ke kahi, milna munasib na lage
Toh mujhse har din raah mein, ittefaq banke mila karo

Mohabatt mein kahan koi unsuni fariyaad hoti hain

Mohabatt mein kahan koi unsuni fariyaad hoti hain
Kahin jub dil tadapta hain wahan barsaat hoti hain

Chupa leti hain khud mein dard saarey ishqwalo ke
Kisi ka toot ta hain dil, toh jaldi raat hoti hain

Jahan se toot jaatein hain, umra daraaz se rishtey
Gour se dekhe gar koi toh choti baat hoti hain

Kisi se dil miley toh lamho mein puree zindagi jee lo
Kabhi taqdeer mein bas ek hi mulaqaat hoti hain

Hur saksh khud ko bech kar aata nahi “Deepak”
Aasan kiski duniya mein halaat hoti hain

Kahan tak hain akelapan, kahan tak yeh judayee hain

Kahan tak hain akelapan, kahan tak yeh judayee hain
Bahut kehte hain saarey log, kahan lekin khudayee hain
Har ek ansoo jo nikla hain, lahoo bankar ke nikla hain
Nahi maloom hota dil ne kahan tak chot khayee hain

Baharon ne kaha tha abke mera ghar sajayengi
Mere dar andhera hain, woh kiska ghar sajayee hain

Nahi hotey hain apne saare jo apne se dikhte hain
Ki jub bhi pankh khola hain, hawayein kaat khayee hain

Galat hain ajmayeesh par, khata yeh kar ke dekhenge
Hume maloom ho ulfat kahan tak rang layee hain

Jara si baat par naraaz hokar gair se milna
Sanam ki gudgudee hain ya sanam ki bewafee hain

Umeedi duubti hain, akhiri Deepak jalaya hain
Ki ub kya aayega woh, rastein sub lout aayee hain

Kahan se deep laun roshini kaise jagaun main

Kahan se deep laun roshini kaise jagaun main
Bahut hu duur ub tum tak kaise lout aaun main
Meri awaaz bhi mujh jaise bas khamosh si hi hain
Tumhe in raaton ki tanhayee se kaise bulaun main

Aadat si humesha hain umeedon ko kafan dena
Ub jo aayee hain khushiyan, ghar kaise sajaun main

Koi aata nahi mujh tak, andhero mein ujala sa
Kisi ke naam ki mehndi bata kaise sajaun main

Koi taqleef naho usko, wo mera khuda sa hain
Yeh bhi manzoor hain uski zafa par muskuraun main

Mohabaat ke fasane mein, ashqoN ke thiqaane hain
Kahan tak yaad rakhu aur kahan tak bhool jaun main

zamane ke tareeqe se bahut jee kar ke dekha hain
Bas itni arzoo hain ub ki khud mein lout aaun main

Hazaron manzilein aisi hazaron khawishein aise

Hazaron manzilein aisi hazaron khawishein aise
Ki na haasil toh dum nikle, jo mil jaye toh dum nikle
Har ek din tay kiya ki ub tere dar par na jayenge
Muqaddar yun ki hur ek raah par tera dar sanam nikle

Nigahon se behakne ke zamane lout ayenge
Magar yeh shart hain ki, benaqaab hokar sanam nikle

Umeedo ke chaman mein aaj ek tara naya aaya
Tamanna hain ki chandani bankar sanam nikle

Jalaya khoob hain maine, nashe mann ko mohabatt mein
Kabhi toh yun bhi ho ki, khud shama bankar sanam nikle

Kisi dariya dili mein usne, nazar bhar ke dekha hain
Mumkin hain meri umeed se badhkar sanam nikle

Mujhe yeh char lamho ki kareebi manzoor nahi taqdeer
Kuch aisa kar ki yeh rishtey, umar bankar sanam nikle

Jo sagar sa nigahon mein utar aaya hain rehne do
mumkin hain ki yun dil ke samandar se sanam nikle

Nahi hota agar main toh wahan koi doosra hota

Nahi hota agar main toh wahan koi doosra hota
Mohabatt ka kisi par toh kehar phir bhi gira hota
kisi ke aashiyane ko tabaah hona tha bijli se
kisi ka ghar nahi milta, toh mere ghar gira hota

main usko rok leta ishq ka, koi waasta dekar
ek katraa bhi nigahon se jo ansoo ka gira hota

Wo saare pal main chunn leta, jo uske sang na ji paaya
gujarte waqt ke haathon se gar lamha gira hota

sambhal pata kabhi main farz ki adaayeegi se gar
toh kisi pardanashi ke ishq mein jaakar gira hota

jo mere haathon mein ek toot-ta tara likha hota
toh sunepan mein mere chaand ka tukda gira hota

Taqdeer haath lekar, galiyon mein doudta hain

Taqdeer haath lekar, galiyon mein doudta hain
Bacche ke paas khelne ko, aur kuch nahi raha
Mayushi, dard –e- gam ko, jewar bana liya hain
Apni tabaahi ka usey, darr kuch nahi raha

Din ke ujaley loot gaye, hain luterey usko
Andhere ke zaalimo ka, darr kuch nahi raha

Shehron ne iss kadar kiya taiyyar aadmi ko
Jungle mein ghumne ka, darr kuch nahi raha

Saahil pe mout jheltey, jeetey hain iss kadar
Toofan mein dubane ka, darr kuch nahi raha

Rishton ka aaj kya hain, raste pe bik rahe hain
Nato ke tootne ka, darr kuch nahi raha

Maa ki dua liye woh, chal diya aandhiyon mein
“Deepak” ko bujhne ka, darr kuch nahi raha

Kya jane kis waqt khawabo mein bula le

Hoton pe rakhta hu hur baat dabakar
Kya jane kis baat ko tu dil se laga le
Hur raat yehi sochkar rehta hu main jaga
Kya jane kis waqt khawabo mein bula le

Jis tarah tu jeeta hain, khud mein hi simatkar
Mujhe durr hain kahi khud ko tanha na bana le

Ik raat mili tum sung, bekhud sa ho gaya dil
kehta hai baad raat ke phir raat saja le

mil jayegi manzil, toh mujhe chod dena tum
Jab tak hain faasle mujhe humraah bana le

tujhse kareebi ke liye, manzoor hain kuch bhi
mujhko tu apne raah ka pathar hi bana le

Labjo mein nahi bolunga ub dil ka fasana
aankhon ko meri padhne ki aadat si bana le

bankar na firo tum, ek namumkin si hasrat
aisa na ho tujhe paane ki, koi ziddh hi bana le

lagta hain aaj aandhi mein, andhera bhi mil gaya
ladna hain tujhe dono se toh “Deepak” hi jala le

Kahan hain waqt ka marham, sukhane kyu nahi aata


Mujhe dar hain zakhm-e-ruuh kahin jaan na le le
Zamane se alag khud ko nazarband kar jo rakha hain
Kahin yeh dour-e-tanhayee meri pehchaan na le le

Bahut din ho gaye bhukhe rahe, bekaari mein logon
Kahin yeh pet ki agni mera imaan na le le

Kisi se baant_ney ko dard, dil itna umaada hain
Kahin ehsaan jatanewalo ka, ehsaan na le le

Zara sa mud ke dekha hain uss parda nashi ne aaj
Nahi koi doosra mujhsa, dil gumaan na le le

tum apne ishq ka ehtiyaat se, izhaar karna aaj
Naya parinda hain yeh aur, uchee udaan na le le

Bahut rangat bhikhren hain naye mousam ne aate hi
Magar badle mein ek din, hoton ki muskaan na le le